5 Lekin Rab bhī shahr ke bīch meṅ hai, aur wuh rāst hai, wuh be'insāfī nahīṅ kartā. Subah basubah wuh apnā insāf qāym rakhtā hai, ham kabhī us se mahrūm nahīṅ rahte. Lekin bedīn sharm se wāqif hī nahīṅ hotā.
6 Rab farmātā hai, “Maiṅ ne qaumoṅ ko nest-o-nābūd kar diyā hai. Un ke qile tabāh, un kī galiyāṅ sunsān haiṅ. Ab un meṅ se koī nahīṅ guzartā. Un ke shahr itne barbād haiṅ ki koī bhī un meṅ nahīṅ rahtā. 7 Maiṅ bolā, ‘Beshak Yarūshalam merā ḳhauf mān kar merī tarbiyat qabūl karegā. Kyoṅki kyā zarūrat hai ki us kī rihāishgāh miṭ jāe aur merī tamām sazāeṅ us par nāzil ho jāeṅ.’ Lekin us ke bāshinde mazīd josh ke sāth apnī burī harkatoṅ meṅ lag gae.” 8 Chunāṅche Rab farmātā hai, “Ab mere intazār meṅ raho, us din ke intazār meṅ jab maiṅ shikār karne ke lie uṭhūṅgā. [a] Kyoṅki maiṅ ne aqwām ko jamā karne kā faislā kiyā hai. Maiṅ mamālik ko ikaṭṭhā karke un par apnā ġhazab nāzil karūṅga. Tab wuh mere saḳht qahr kā nishānā ban jāeṅge, pūrī duniyā merī ġhairat kī āg se bhasm ho jāegī.
11 Ai Siyyūn Beṭī, us din tujhe sharmsār nahīṅ honā paṛegā hālāṅki tū ne mujh se bewafā ho kar nihāyat bure kām kie haiṅ. Kyoṅki maiṅ tere darmiyān se tere mutakabbir sheḳhībāzoṅ ko nikālūṅgā. Āindā tū mere muqaddas pahāṛ par maġhrūr nahīṅ hogī. 12 Maiṅ tujh meṅ sirf qaum ke ġharīboṅ aur zarūratmandoṅ ko chhoṛūṅgā, un sab ko jo Rab ke nām meṅ panāh leṅge. 13 Isrāīl kā yih bachā huā hissā na ġhalat kām karegā, na jhūṭ bolegā. Un kī zabān par fareb nahīṅ hogā. Tab wuh bheṛoṅ kī tarah charāgāh meṅ chareṅge aur ārām kareṅge. Unheṅ ḍarāne wālā koī nahīṅ hogā.”
14 Ai Siyyūn Beṭī, ḳhushī ke nāre lagā! Ai Isrāīl, ḳhushī manā! Ai Yarūshalam Beṭī, shādmān ho, pūre dil se shādiyānā bajā. 15 Kyoṅki Rab ne terī sazā miṭā kar tere dushman ko bhagā diyā hai. Rab jo Isrāīl kā Bādshāh hai tere darmiyān hī hai. Āindā tujhe kisī nuqsān se ḍarne kī zarūrat nahīṅ hogī.
16 Us din log Yarūshalam se kaheṅge, “Ai Siyyūn, mat ḍarnā! Hauslā na hār, tere hāth ḍhīle na hoṅ. 17 Rab terā Ḳhudā tere darmiyān hai, terā pahalwān tujhe najāt degā. Wuh shādmān ho kar terī ḳhushī manāegā. Us kī muhabbat tere qusūr kā zikr hī nahīṅ karegī balki wuh tujh se intahāī ḳhush ho kar shādiyānā bajāegā.”
18 Rab farmātā hai, “Maiṅ īd ko tark karne wāloṅ ko tujh se dūr kar dūṅgā, kyoṅki wuh terī ruswāī kā bāis the. 19 Maiṅ un se bhī nipaṭ lūṅgā jo tujhe kuchal rahe haiṅ. Jo langaṛātā hai use maiṅ bachāūṅgā, jo muntashir haiṅ unheṅ jamā karūṅga. Jis mulk meṅ bhī un kī ruswāī huī wahāṅ maiṅ un kī tārīf aur ehtirām karāūṅgā. 20 Us waqt maiṅ tumheṅ jamā karke watan meṅ wāpas lāūṅgā. Maiṅ tumhāre deḳhte deḳhte tumheṅ bahāl karūṅga aur duniyā kī tamām aqwām meṅ tumhārī tārīf aur ehtirām karāūṅgā.” Yih Rab kā farmān hai.
<- Safaniyāh 2- a Ek aur mumkinā tarjumā: gawāhī dene ke lie.