5
Chhaṭī Royā: Uṛne Wālā Tūmār
1 Maiṅ ne ek bār phir apnī nazar uṭhāī to ek uṛtā huā tūmār dekhā. 2 Farishte ne pūchhā, “Tujhe kyā nazar ātā hai?” Maiṅ ne jawāb diyā, “Ek uṛtā huā tūmār jo 30 fuṭ lambā aur 15 fuṭ chauṛā hai.” 3 Wuh bolā, “Is se murād ek lānat hai jo pūre mulk par bhejī jāegī. Is tūmār ke ek taraf likhā hai ki har chor ko miṭā diyā jāegā aur dūsrī taraf yih ki jhūṭī qasam khāne wāle ko nest kiyā jāegā. 4 Rabbul-afwāj farmātā hai, ‘Maiṅ yih bhejūṅgā to chor aur mere nām kī jhūṭī qasam khāne wāle ke ghar meṅ lānat dāḳhil hogī aur us ke bīch meṅ rah kar use lakaṛī aur patthar samet tabāh kar degī.’ ”
Sātwīṅ Royā: Ṭokrī meṅ Aurat
5 Jo farishtā mujh se bāt kar rahā thā us ne ā kar mujh se kahā, “Apnī nigāh uṭhā kar wuh dekh jo nikal kar ā rahā hai.” 6 Maiṅ ne pūchhā, “Yih kyā hai?” Us ne jawāb diyā, “Yih anāj kī paimāish karne kī ṭokrī hai. Yih pūre mulk meṅ nazar ātī hai.” 7 Ṭokrī par sīse kā ḍhaknā thā. Ab wuh khul gayā, aur ṭokrī meṅ baiṭhī huī ek aurat dikhāī dī. 8 Farishtā bolā, “Is aurat se murād Bedīnī hai.” Us ne aurat ko dhakkā de kar ṭokrī meṅ wāpas kar diyā aur sīse kā ḍhaknā zor se band kar diyā.
9 Maiṅ ne dubārā apnī nazar uṭhāī to do auratoṅ ko dekhā. Un ke laqlaq ke-se par the, aur uṛte waqt hawā un ke sāth thī. Ṭokrī ke pās pahuṅch kar wuh use uṭhā kar āsmān-o-zamīn ke darmiyān le gaīṅ. 10 Jo farishtā mujh se guftgū kar rahā thā us se maiṅ ne pūchhā, “Aurateṅ ṭokrī ko kidhar le jā rahī haiṅ?” 11 Us ne jawāb diyā, “Mulk-e-Bābal meṅ. Wahāṅ wuh us ke lie ghar banā deṅgī. Jab ghar taiyār hogā to ṭokrī wahāṅ us kī apnī jagah par rakhī jāegī.”
<- Zakariyāh 4Zakariyāh 6 ->