1 To kyā Yahūdī hone kā yā ḳhatnā kā koī fāydā hai? 2 Jī hāṅ, har tarah kā! Awwal to yih ki Allāh kā kalām un ke sapurd kiyā gayā hai. 3 Agar un meṅ se bāz bewafā nikle to kyā huā? Kyā is se Allāh kī wafādārī bhī ḳhatm ho jāegī? 4 Kabhī nahīṅ! Lāzim hai ki Allāh sachchā ṭhahre go har insān jhūṭā hai. Yoṅ kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, “Lāzim hai ki tū bolte waqt rāst ṭhahre aur adālat karte waqt ġhālib āe.”
5 Koī kah saktā hai, “Hamārī nārāstī kā ek achchhā maqsad hotā hai, kyoṅki is se logoṅ par Allāh kī rāstī zāhir hotī hai. To kyā Allāh be'insāf nahīṅ hogā agar wuh apnā ġhazab ham par nāzil kare?” (Maiṅ insānī ḳhayāl pesh kar rahā hūṅ.) 6 Hargiz nahīṅ! Agar Allāh rāst na hotā to phir wuh duniyā kī adālat kis tarah kar saktā?
7 Shāyad koī aur etarāz kare, “Agar merā jhūṭ Allāh kī sachchāī ko kasrat se numāyāṅ kartā hai aur yoṅ us kā jalāl baṛhtā hai to wuh mujhe kyoṅkar gunāhgār qarār de saktā hai?” 8 Kuchh log ham par yih kufr bhī bakte haiṅ ki ham kahte haiṅ, “Āo, ham burāī kareṅ tāki bhalāī nikle.” Insāf kā taqāzā hai ki aise logoṅ ko mujrim ṭhahrāyā jāe.
11 Koī nahīṅ jo samajhdār hai,
12 Afsos, sab sahīh rāh se bhaṭak gae.
13 Un kā galā khulī qabr hai,
14 Un kā muṅh lānat aur kaṛwāhaṭ se bharā hai.
15 Un ke pāṅw ḳhūn bahāne ke lie jaldī karte haiṅ.
16 Apne pīchhe wuh tabāhī-o-barbādī chhoṛ jāte haiṅ,
17 aur wuh salāmatī kī rāh nahīṅ jānte.
18 Un kī āṅkhoṅ ke sāmne Ḳhudā kā ḳhauf nahīṅ hotā.”
19 Ab ham jānte haiṅ ki sharīat jo kuchh farmātī hai unheṅ farmātī hai jin ke sapurd wuh kī gaī hai. Maqsad yih hai ki har insān ke bahāne ḳhatm kie jāeṅ aur tamām duniyā Allāh ke sāmne mujrim ṭhahre. 20 Kyoṅki sharīat ke taqāze pūre karne se koī bhī us ke sāmne rāstbāz nahīṅ ṭhahar saktā, balki sharīat kā kām yih hai ki hamāre andar gunāhgār hone kā ehsās paidā kare.
27 Ab hamārā faḳhr kahāṅ rahā? Use to ḳhatm kar diyā gayā hai. Kis sharīat se? Kyā āmāl kī sharīat se? Nahīṅ, balki īmān kī sharīat se. 28 Kyoṅki ham kahte haiṅ ki insān ko īmān se rāstbāz ṭhahrāyā jātā hai, na ki āmāl se. 29 Kyā Allāh sirf Yahūdiyoṅ kā Ḳhudā hai? Ġhairyahūdiyoṅ kā nahīṅ? Hāṅ, Ġhairyahūdiyoṅ kā bhī hai. 30 Kyoṅki Allāh ek hī hai jo maḳhtūn aur nāmaḳhtūn donoṅ ko īmān hī se rāstbāz ṭhahrāegā. 31 Phir kyā ham sharīat ko īmān se mansūḳh karte haiṅ? Hargiz nahīṅ, balki ham sharīat ko qāym rakhte haiṅ.
<- Romiyoṅ 2Romiyoṅ 4 ->