Romiyoṅ
2 Pāk nawishtoṅ meṅ darj is ḳhushḳhabrī kā wādā Allāh ne pahle hī apne nabiyoṅ se kar rakhā thā. 3 Aur yih paiġhām us ke Farzand Īsā ke bāre meṅ hai. Insānī lihāz se wuh Dāūd kī nasl se paidā huā, 4 jabki Rūhul-quds ke lihāz se wuh qudrat ke sāth Allāh kā Farzand ṭhahrā jab wuh murdoṅ meṅ se jī uṭhā. Yih hai hamāre Ḳhudāwand Īsā Masīh ke bāre meṅ Allāh kī ḳhushḳhabrī. 5 Masīh se hameṅ rasūlī iḳhtiyār kā yih fazl hāsil huā hai ki ham tamām Ġhairyahūdiyoṅ meṅ munādī kareṅ tāki wuh īmān lā kar us ke tābe ho jāeṅ aur yoṅ Masīh ke nām ko jalāl mile. 6 Āp bhī un Ġhairyahūdiyoṅ meṅ se haiṅ, jo Īsā Masīh ke bulāe hue haiṅ.
7 Maiṅ āp sab ko likh rahā hūṅ jo Rom meṅ Allāh ke pyāre haiṅ aur maḳhsūs-o-muqaddas hone ke lie bulāe gae haiṅ.
13 Bhāiyo, āp ke ilm meṅ ho ki maiṅ ne bahut dafā āp ke pās āne kā irādā kiyā. Kyoṅki jis tarah dīgar Ġhairyahūdī aqwām meṅ merī ḳhidmat se phal paidā huā hai usī tarah āp meṅ bhī phal deḳhnā chāhtā hūṅ. Lekin āj tak mujhe rokā gayā hai. 14 Bāt yih hai ki yih ḳhidmat saranjām denā merā farz hai, ḳhāh Yūnāniyoṅ meṅ ho yā Ġhairyūnāniyoṅ meṅ, ḳhāh dānāoṅ meṅ ho yā nādānoṅ meṅ. 15 Yihī wajah hai ki maiṅ āp ko bhī jo Rom meṅ rahte haiṅ Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāne kā mushtāq hūṅ.
24 Is lie Allāh ne unheṅ un najis kāmoṅ meṅ chhoṛ diyā jo un ke dil karnā chāhte the. Natīje meṅ un ke jism ek dūsre se behurmat hote rahe. 25 Hāṅ, unhoṅ ne Allāh ke bāre meṅ sachchāī ko radd karke jhūṭ ko apnā liyā aur maḳhlūqāt kī parastish aur ḳhidmat kī, na ki Ḳhāliq kī, jis kī tārīf abad tak hotī rahe, āmīn.
26 Yihī wajah hai ki Allāh ne unheṅ un kī sharmnāk shahwatoṅ meṅ chhoṛ diyā. Un kī ḳhawātīn ne fitratī jinsī tālluqāt ke bajāe ġhairfitratī tālluqāt rakhe. 27 Isī tarah mard ḳhawātīn ke sāth fitratī tālluqāt chhoṛ kar ek dūsre kī shahwat meṅ mast ho gae. Mardoṅ ne mardoṅ ke sāth behayā harkateṅ karke apne badanoṅ meṅ apnī is gumrāhī kā munāsib badlā pāyā.
28 Aur chūṅki unhoṅ ne Allāh ko jānane se inkār kar diyā is lie us ne unheṅ un kī makrūh soch meṅ chhoṛ diyā. Aur is lie wuh aisī harkateṅ karte rahte haiṅ jo kabhī nahīṅ karnī chāhieṅ. 29 Wuh har tarah kī nārāstī, shar, lālach aur burāī se bhare hue haiṅ. Wuh hasad, ḳhūṅrezī, jhagaṛe, fareb aur kīnāwarī se labrez haiṅ. Wuh chuġhlī khāne wāle, 30 tohmat lagāne wāle, Allāh se nafrat karne wāle, sarkash, maġhrūr, sheḳhībāz, badī ko ījād karne wāle, māṅ-bāp ke nāfarmān, 31 besamajh, bewafā, sangdil aur berahm haiṅ. 32 Agarche wuh Allāh kā farmān jānte haiṅ ki aisā karne wāle sazā-e-maut ke mustahiq haiṅ to bhī wuh aisā karte haiṅ. Na sirf yih balki wuh aisā karne wāle dīgar logoṅ ko shābāsh bhī dete haiṅ.
Romiyoṅ 2 ->