7 Īsā farmātā hai, “Dekho, maiṅ jald āūṅgā. Mubārak hai wuh jo is kitāb kī peshgoiyoṅ ke mutābiq zindagī guzārtā hai.”
8 Maiṅ Yūhannā ne ḳhud yih kuchh sunā aur dekhā hai. Aur use sunane aur deḳhne ke bād maiṅ us farishte ke pāṅwoṅ meṅ gir gayā jis ne mujhe yih dikhāyā thā aur use sijdā karnā chāhtā thā. 9 Lekin us ne mujh se kahā, “Aisā mat kar! Maiṅ bhī usī kā ḳhādim hūṅ jis kā tū, tere bhāī nabī aur kitāb kī pairawī karne wāle haiṅ. Ḳhudā hī ko sijdā kar!” 10 Phir us ne majhe batāyā, “Is kitāb kī peshgoiyoṅ par muhr mat lagānā, kyoṅki waqt qarīb ā gayā hai. 11 Jo ġhalat kām kar rahā hai wuh ġhalat kām kartā rahe. Jo ghinaunā hai wuh ghinaunā hotā jāe. Jo rāstbāz hai wuh rāstbāzī kartā rahe. Jo muqaddas hai wuh muqaddas hotā jāe.”
12 Īsā farmātā hai, “Dekho, maiṅ jald āne ko hūṅ. Maiṅ ajr le kar āūṅgā aur maiṅ har ek ko us ke kāmoṅ ke muwāfiq ajr dūṅgā. 13 Maiṅ Alif aur Ye, Awwal aur Āḳhir, Ibtidā aur Intahā hūṅ.”
14 Mubārak haiṅ wuh jo apne libās ko dhote haiṅ. Kyoṅki wuh zindagī ke daraḳht ke phal se khāne aur darwāzoṅ ke zariye shahr meṅ dāḳhil hone kā haq rakhte haiṅ. 15 Lekin bāqī sab shahr ke bāhar raheṅge. Kutte, zinākār, qātil, butparast aur tamām wuh log jo jhūṭ ko pyār karte aur us par amal karte haiṅ sab ke sab bāhar raheṅge.
16 “Maiṅ Īsā ne apne farishte ko tumhāre pās bhejā hai tāki wuh jamātoṅ ke lie tumheṅ in bātoṅ kī gawāhī de. Maiṅ Dāūd kī Jaṛ aur Aulād hūṅ, maiṅ hī chamaktā huā Subah kā Sitārā hūṅ.”
17 Rūh aur dulhan kahtī haiṅ, “Ā!”
20 Jo in bātoṅ kī gawāhī detā hai wuh farmātā hai, “Jī hāṅ! Maiṅ jald hī āne ko hūṅ.” “Āmīn! Ai Ḳhudāwand Īsā ā!”
21 Ḳhudāwand Īsā kā fazl sab ke sāth rahe.
<- Mukāshafā 21