6 Us ke sāth wuhī sulūk karo
7 Use utnī hī aziyat aur ġham pahuṅchā do
8 Is wajah se ek din yih balāeṅ yānī maut, mātam aur kāl
9 Aur zamīn ke jin bādshāhoṅ ne us ke sāth zinā aur aiyāshī kī wuh us ke jalne kā dhuāṅ dekh kar ro paṛeṅge aur āh-o-zārī kareṅge. 10 Wuh us kī aziyat ko dekh kar ḳhauf khāeṅge aur dūr dūr khaṛe ho kar kaheṅge, “Afsos! Tujh par afsos, ai azīm aur tāqatwar shahr Bābal! Ek hī ghanṭe ke andar andar Allāh kī adālat tujh par ā gaī hai.”
11 Zamīn ke saudāgar bhī use dekh kar ro paṛeṅge aur āh-o-zārī kareṅge, kyoṅki koī nahīṅ rahā hogā jo un kā māl ḳharīde: 12 un kā sonā, chāṅdī, beshqīmat jawāhar, motī, bārīk katān, arġhawānī aur qirmizī rang kā kapṛā, resham, har qism kī ḳhushbūdār lakaṛī, hāthīdāṅt kī har chīz aur qīmtī lakaṛī, pītal, lohe aur sang-e-marmar kī har chīz, 13 dārchīnī, masālā, agarbattī, mur, baḳhūr, mai, zaitūn kā tel, behtarīn maidā, gandum, gāy-bail, bheṛeṅ, ghoṛe, rath aur ġhulām yānī insān. 14 Saudāgar us se kaheṅge, “Jo phal tū chāhtī thī wuh tujh se dūr ho gayā hai. Terī tamām daulat aur shān-o-shaukat ġhāyb ho gaī hai aur āindā kabhī bhī tere pās pāī nahīṅ jāegī.” 15 Jo saudāgar use yih chīzeṅ faroḳht karne se daulatmand hue wuh us kī aziyat dekh kar ḳhauf ke māre dūr dūr khaṛe ho jāeṅge. Wuh ro ro kar mātam kareṅge 16 aur kaheṅge, “Hāy! Tujh par afsos, ai azīm shahr, ai ḳhātūn jo pahle bārīk katān, arġhawānī aur qirmizī rang ke kapṛe pahne phirtī thī aur jo sone, qīmtī jawāhar aur motiyoṅ se sajī huī thī. 17 Ek hī ghanṭe ke andar andar sārī daulat tabāh ho gaī hai!”
20 Ai āsmān, use dekh kar ḳhushī manā!
21 Phir ek tāqatwar farishte ne baṛī chakkī ke pāṭ kī mānind ek baṛe patthar ko uṭhā kar samundar meṅ phaiṅk diyā. Us ne kahā, “Azīm shahr Bābal ko itnī hī zabardastī se paṭak diyā jāegā. Bād meṅ use kahīṅ nahīṅ pāyā jāegā. 22 Ab se na mausīqāroṅ kī āwāzeṅ tujh meṅ kabhī sunāī deṅgī, na sarod, bāṅsrī yā turam bajāne wāloṅ kī. Ab se kisī bhī kām kā kārīgar tujh meṅ pāyā nahīṅ jāegā. Hāṅ, chakkī kī āwāz hameshā ke lie band ho jāegī. 23 Ab se charāġh tujhe raushan nahīṅ karegā, dulhan-dūlhe kī āwāz tujh meṅ sunāī nahīṅ degī. Hāy, tere saudāgar duniyā ke baṛe baṛe afsar the, aur terī jādūgarī se tamām qaumoṅ ko bahkāyā gayā.”
24 Hāṅ, Bābal meṅ nabiyoṅ, muqaddasīn aur un tamām logoṅ kā ḳhūn pāyā gayā hai jo zamīn par shahīd ho gae haiṅ.
<- Mukāshafā 17Mukāshafā 19 ->