4 Yih do gawāh zaitūn ke wuh do daraḳht aur wuh do shamādān haiṅ jo duniyā ke āqā ke sāmne khaṛe haiṅ. 5 Agar koī unheṅ nuqsān pahuṅchānā chāhe to un ke muṅh meṅ se āg nikal kar un ke dushmanoṅ ko bhasm kar detī hai. Jo bhī unheṅ nuqsān pahuṅchānā chāhe use is tarah marnā paṛtā hai. 6 In gawāhoṅ ko āsmān ko band rakhne kā iḳhtiyār hai tāki jitnā waqt wuh nabuwwat kareṅ bārish na ho. Unheṅ pānī ko ḳhūn meṅ badalne aur zamīn ko har qism kī aziyat pahuṅchāne kā iḳhtiyār bhī hai. Aur wuh jitnī dafā jī chāhe yih kar sakte haiṅ.
7 Un kī gawāhī kā muqarrarā waqt pūrā hone par athāh gaṛhe meṅ se nikalne wālā haiwān un se jang karnā shurū karegā aur un par ġhālib ā kar unheṅ mār ḍālegā. 8 Un kī lāsheṅ us baṛe shahr kī saṛak par paṛī raheṅgī jis kā alāmatī nām Sadūm aur Misr hai. Wahāṅ un kā āqā bhī maslūb huā thā. 9 Aur sāṛhe tīn dinoṅ ke daurān har ummat, qabīle, zabān aur qaum ke log in lāshoṅ ko ghūr kar dekheṅge aur inheṅ dafn karne nahīṅ deṅge. 10 Zamīn ke bāshinde un kī wajah se masrūr hoṅge aur ḳhushī manā kar ek dūsre ko tohfe bhejeṅge, kyoṅki in do nabiyoṅ ne zamīn par rahne wāloṅ ko kāfī īzā pahuṅchāī thī. 11 Lekin in sāṛhe tīn dinoṅ ke bād Allāh ne un meṅ zindagī kā dam phūṅk diyā, aur wuh apne pāṅwoṅ par khaṛe hue. Jo unheṅ dekh rahe the wuh saḳht dahshatzadā hue. 12 Phir unhoṅ ne āsmān se ek ūṅchī āwāz sunī jis ne un se kahā, “Yahāṅ ūpar āo!” Aur un ke dushmanoṅ ke deḳhte deḳhte donoṅ ek bādal meṅ āsmān par chale gae. 13 Usī waqt ek shadīd zalzalā āyā aur shahr kā daswāṅ hissā gir kar tabāh ho gayā. 7,000 afrād us kī zad meṅ ā kar mar gae. Bache hue logoṅ meṅ dahshat phail gaī aur wuh āsmān ke Ḳhudā ko jalāl dene lage.
14 Dūsrā afsos guzar gayā, lekin ab tīsrā afsos jald hone wālā hai.
19 Āsmān par Allāh ke ghar ko kholā gayā aur us meṅ us ke ahd kā sandūq nazar āyā. Bijlī chamakne lagī, shor mach gayā, bādal garajne aur baṛe baṛe ole paṛne lage.
<- Mukāshafā 10Mukāshafā 12 ->