Mukāshafā
1 Yih Īsā Masīh kī taraf se mukāshafā hai jo Allāh ne use atā kiyā tāki wuh apne ḳhādimoṅ ko wuh kuchh dikhāe jise jald hī pesh ānā hai. Us ne apne farishte ko bhej kar yih mukāshafā apne ḳhādim Yūhannā tak pahuṅchā diyā. 2 Aur jo kuchh bhī Yūhannā ne dekhā hai us kī gawāhī us ne dī hai, ḳhāh Allāh kā kalām ho yā Īsā Masīh kī gawāhī. 3 Mubārak hai wuh jo is nabuwwat kī tilāwat kartā hai. Hāṅ, mubārak haiṅ wuh jo sun kar apne diloṅ meṅ is kitāb meṅ darj bāteṅ mahfūz rakhte haiṅ, kyoṅki yih jald hī pūrī ho jāeṅgī.
7 Dekheṅ, wuh bādaloṅ ke sāth ā rahā hai. Har ek use dekhegā, wuh bhī jinhoṅ ne use chhedā thā. Aur duniyā kī tamām qaumeṅ use dekh kar āh-o-zārī kareṅgī. Hāṅ, aisā hī ho! Āmīn.
8 Rab Ḳhudā farmātā hai, “Maiṅ Awwal aur Āḳhir hūṅ, wuh jo hai, jo thā aur jo āne wālā hai, yānī Qādir-e-mutlaq Ḳhudā.”
12 Maiṅ ne bolne wāle ko deḳhne ke lie apne pīchhe nazar ḍālī to sone ke sāt shamādān dekhe. 13 In shamādānoṅ ke darmiyān koī khaṛā thā jo Ibn-e-Ādam kī mānind thā. Us ne pāṅwoṅ tak kā lambā choġhā pahan rakhā thā aur sīne par sone kā sīnāband bāndhā huā thā. 14 Us kā sar aur bāl ūn yā barf jaise safed the aur us kī āṅkheṅ āg ke shole kī mānind thīṅ. 15 Us ke pāṅw bhaṭṭe meṅ damakte pītal kī mānind the aur us kī āwāz ābshār ke shor jaisī thī. 16 Apne dahne hāth meṅ us ne sāt sitāre thām rakhe the aur us ke muṅh se ek tez aur dodhārī talwār nikal rahī thī. Us kā chehrā pūre zor se chamakne wāle sūraj kī tarah chamak rahā thā. 17 Use deḳhte hī maiṅ us ke pāṅwoṅ meṅ gir gayā. Maiṅ murdā-sā thā. Phir us ne apnā dahnā hāth mujh par rakh kar kahā, “Mat ḍar. Maiṅ Awwal aur Āḳhir hūṅ. 18 Maiṅ wuh hūṅ jo zindā hai. Maiṅ to mar gayā thā lekin ab dekh, maiṅ abad tak zindā hūṅ. Aur Maut aur Pātāl kī kunjiyāṅ mere hāth meṅ haiṅ. 19 Chunāṅche jo kuchh tū ne dekhā hai, jo abhī hai aur jo āindā hogā use likh de. 20 Mere dahne hāth meṅ sāt sitāroṅ aur sāt shamādānoṅ kā poshīdā matlab yih hai: Yih sāt sitāre Āsiyā kī sāt jamātoṅ ke farishte haiṅ, aur yih sāt shamādān yih sāt jamāteṅ haiṅ.
Mukāshafā 2 ->