2 Subah ko terī shafqat aur rāt ko terī wafā kā elān karnā bhalā hai,
3 ḳhāskar jab sāth sāth das tāroṅ wālā sāz, sitār aur sarod bajte haiṅ.
5 Ai Rab, tere kām kitne azīm, tere ḳhayālāt kitne gahre haiṅ.
6 Nādān yih nahīṅ jāntā, ahmaq ko is kī samajh nahīṅ ātī.
7 Go bedīn ghās kī tarah phūṭ nikalte aur badkār sab phalte-phūlte haiṅ, lekin āḳhirkār wuh hameshā ke lie halāk ho jāeṅge.
8 Magar tū, ai Rab, abad tak sarbuland rahegā.
11 Merī āṅkh apne dushmanoṅ kī shikast se aur mere kān un sharīroṅ ke anjām se lutfandoz hue haiṅ jo mere ḳhilāf uṭh khaṛe hue haiṅ.
13 Jo paude Rab kī sukūnatgāh meṅ lagāe gae haiṅ wuh hamāre Ḳhudā kī bārgāhoṅ meṅ phaleṅ-phūleṅge.
14 Wuh buṛhāpe meṅ bhī phal lāeṅge aur tar-o-tāzā aur hare-bhare raheṅge.
15 Us waqt bhī wuh elān kareṅge, “Rab rāst hai. Wuh merī chaṭṭān hai, aur us meṅ nārāstī nahīṅ hotī.”
<- Zabūr 91Zabūr 93 ->