2 Maiṅ shādmān ho kar terī ḳhushī manāūṅgā. Ai Allāh T'ālā, maiṅ tere nām kī tamjīd meṅ gīt gāūṅgā.
3 Jab mere dushman pīchhe haṭ jāeṅge to wuh ṭhokar khā kar tere huzūr tabāh ho jāeṅge.
4 Kyoṅki tū ne merā insāf kiyā hai, tū taḳht par baiṭh kar rāst munsif sābit huā hai.
5 Tū ne aqwām ko malāmat karke bedīnoṅ ko halāk kar diyā, un kā nām-o-nishān hameshā ke lie miṭā diyā hai.
6 Dushman tabāh ho gayā, abad tak malbe kā ḍher ban gayā hai. Tū ne shahroṅ ko jaṛ se ukhāṛ diyā hai, aur un kī yād tak bāqī nahīṅ rahegī.
8 Wuh rāstī se duniyā kī adālat karegā, insāf se ummatoṅ kā faislā karegā.
9 Rab mazlūmoṅ kī panāhgāh hai, ek qilā jis meṅ wuh musībat ke waqt mahfūz rahte haiṅ.
11 Rab kī tamjīd meṅ gīt gāo jo Siyyūn Pahāṛ par taḳhtnashīn hai, ummatoṅ meṅ wuh kuchh sunāo jo us ne kiyā hai.
12 Kyoṅki jo maqtūloṅ kā intaqām letā hai wuh musībatzadoṅ kī chīḳheṅ nazarandāz nahīṅ kartā.
14 tāki maiṅ Siyyūn Beṭī ke darwāzoṅ meṅ terī satāish karke wuh kuchh sunāūṅ jo tū ne mere lie kiyā hai, tāki maiṅ terī najāt kī ḳhushī manāūṅ.
16 Rab ne insāf karke apnā izhār kiyā to bedīn apne hāth ke phande meṅ ulajh gayā. (Higgāyūn kā tarz. Silāh)
17 Bedīn Pātāl meṅ utreṅge, jo ummateṅ Allāh ko bhūl gaī haiṅ wuh sab wahāṅ jāeṅgī.
18 Kyoṅki wuh zarūratmandoṅ ko hameshā tak nahīṅ bhūlegā, musībatzadoṅ kī ummīd abad tak jātī nahīṅ rahegī.
20 Ai Rab, unheṅ dahshatzadā kar tāki aqwām jān leṅ ki insān hī haiṅ. (Silāh)
<- Zabūr 8Zabūr 10 ->