Link to home pageLanguagesLink to all Bible versions on this site
80
Angūr kī Bel kī Bahālī ke lie Duā
1 Āsaf kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tarz: Ahd ke Sosan.
Ai Isrāīl ke gallābān, ham par dhyān de! Tū jo Yūsuf kī rewaṛ kī tarah rāhnumāī kartā hai, ham par tawajjuh kar! Tū jo karūbī farishtoṅ ke darmiyān taḳhtnashīn hai, apnā nūr chamkā!

2 Ifrāīm, Binyamīn aur Manassī ke sāmne apnī qudrat ko harkat meṅ lā. Hameṅ bachāne ā!

 
3 Ai Allāh, hameṅ bahāl kar. Apne chehre kā nūr chamkā to ham najāt pāeṅge.
 
4 Ai Rab, lashkaroṅ ke Ḳhudā, terā ġhazab kab tak bhaṛaktā rahegā, hālāṅki terī qaum tujh se iltijā kar rahī hai?

5 Tū ne unheṅ āṅsuoṅ kī roṭī khilāī aur āṅsuoṅ kā pyālā ḳhūb pilāyā.

6 Tū ne hameṅ paṛosiyoṅ ke jhagaṛoṅ kā nishānā banāyā. Hamāre dushman hamārā mazāq uṛāte haiṅ.

 
7 Ai lashkaroṅ ke Ḳhudā, hameṅ bahāl kar. Apne chehre kā nūr chamkā to ham najāt pāeṅge.
 
8 Angūr kī jo bel Misr meṅ ug rahī thī use tū ukhāṛ kar Mulk-e-Kanān lāyā. Tū ne wahāṅ kī aqwām ko bhagā kar yih bel un kī jagah lagāī.

9 Tū ne us ke lie zamīn taiyār kī to wuh jaṛ pakaṛ kar pūre mulk meṅ phail gaī.

10 Us kā sāyā pahāṛoṅ par chhā gayā, aur us kī shāḳhoṅ ne deodār ke azīm daraḳhtoṅ ko ḍhāṅk liyā.

11 Us kī ṭahniyāṅ maġhrib meṅ samundar tak phail gaīṅ, us kī ḍāliyāṅ mashriq meṅ Dariyā-e-Furāt tak pahuṅch gaīṅ.

12 Tū ne us kī chārdīwārī kyoṅ girā dī? Ab har guzarne wālā us ke angūr toṛ letā hai.

13 Jangal ke suar use khā khā kar tabāh karte, khule maidān ke jānwar wahāṅ charte haiṅ.

 
14 Ai lashkaroṅ ke Ḳhudā, hamārī taraf dubārā rujū farmā! Āsmān se nazar ḍāl kar hālāt par dhyān de. Is bel kī dekh-bhāl kar.
 
15 Use mahfūz rakh jise tere dahne hāth ne zamīn meṅ lagāyā, us beṭe ko jise tū ne apne lie pālā hai.

16 Is waqt wuh kaṭ kar nazar-e-ātish huā hai. Tere chehre kī ḍānṭ-ḍapaṭ se log halāk ho jāte haiṅ.

17 Terā hāth apne dahne hāth ke bande ko panāh de, us ādamzād ko jise tū ne apne lie pālā thā.

18 Tab ham tujh se dūr nahīṅ ho jāeṅge. Baḳhsh de ki hamārī jān meṅ jān āe to ham terā nām pukāreṅge.

 
19 Ai Rab, lashkaroṅ ke Ḳhudā, hameṅ bahāl kar. Apne chehre kā nūr chamkā to ham najāt pāeṅge.

<- Zabūr 79Zabūr 81 ->