67
Tamām Qaumeṅ Allāh kī Tārīf Kareṅ
1 Zabūr. Tārdār sāzoṅ ke sāth gānā hai. Mausīqī ke rāhnumā ke lie.
Allāh ham par mehrbānī kare aur hameṅ barkat de. Wuh apne chehre kā nūr ham par chamkāe (Silāh)
2 tāki zamīn par terī rāh aur tamām qaumoṅ meṅ terī najāt mālūm ho jāe.
3 Ai Allāh, qaumeṅ terī satāish kareṅ, tamām qaumeṅ terī satāish kareṅ.
4 Ummateṅ shādmān ho kar ḳhushī ke nāre lagāeṅ, kyoṅki tū insāf se qaumoṅ kī adālat karegā aur zamīn par ummatoṅ kī qiyādat karegā. (Silāh)
5 Ai Allāh, qaumeṅ terī satāish kareṅ, tamām qaumeṅ terī satāish kareṅ.
6 Zamīn apnī fasleṅ detī hai. Allāh hamārā Ḳhudā hameṅ barkat de!
7 Allāh hameṅ barkat de, aur duniyā kī intahāeṅ sab us kā ḳhauf māneṅ.
<- Zabūr 66Zabūr 68 ->