2 Wuhī merī chaṭṭān, merī najāt aur merā qilā hai, is lie maiṅ zyādā nahīṅ ḍagmagāūṅgā.
4 Un ke mansūboṅ kā ek hī maqsad hai, ki use us ke ūṅche ohde se utāreṅ. Unheṅ jhūṭ se mazā ātā hai. Muṅh se wuh barkat dete, lekin andar hī andar lānat karte haiṅ. (Silāh)
6 Sirf wuhī merī jān kī chaṭṭān, merī najāt aur merā qilā hai, is lie maiṅ nahīṅ ḍagmagāūṅgā.
8 Ai ummat, har waqt us par bharosā rakh! Us ke huzūr apne dil kā ranj-o-alam pānī kī tarah unḍel de. Allāh hī hamārī panāhgāh hai. (Silāh)
10 Zulm par etamād na karo, chorī karne par fuzūl ummīd na rakho. Aur agar daulat baṛh jāe to tumhārā dil us se lipaṭ na jāe.
11 Allāh ne ek bāt farmāī balki do bār maiṅ ne sunī hai ki Allāh hī qādir hai.
12 Ai Rab, yaqīnan tū mehrbān hai, kyoṅki tū har ek ko us ke āmāl kā badlā detā hai.
<- Zabūr 61Zabūr 63 ->