Link to home pageLanguagesLink to all Bible versions on this site
61
Dūr se Darḳhāst
1 Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tārdār sāz ke sāth gānā hai.
Ai Allāh, merī āh-o-zārī sun, merī duā par tawajjuh de.

2 Maiṅ tujhe duniyā kī intahā se pukār rahā hūṅ, kyoṅki merā dil niḍhāl ho gayā hai. Merī rāhnumāī karke mujhe us chaṭṭān par pahuṅchā de jo mujh se buland hai.

 
3 Kyoṅki tū merī panāhgāh rahā hai, ek mazbūt burj jis meṅ maiṅ dushman se mahfūz hūṅ.

4 Maiṅ hameshā ke lie tere ḳhaime meṅ rahnā, tere paroṅ tale panāh lenā chāhtā hūṅ. (Silāh)

 
5 Kyoṅki ai Allāh, tū ne merī mannatoṅ par dhyān diyā, tū ne mujhe wuh mīrās baḳhshī jo un sab ko miltī hai jo terā ḳhauf mānte haiṅ.

6 Bādshāh ko umr kī darāzī baḳhsh de. Wuh pusht-dar-pusht jītā rahe.

7 Wuh hameshā tak Allāh ke huzūr taḳhtnashīn rahe. Shafqat aur wafādārī us kī hifāzat kareṅ.

8 Tab maiṅ hameshā tak tere nām kī madahsarāī karūṅga, roz baroz apnī mannateṅ pūrī karūṅga.

<- Zabūr 60Zabūr 62 ->