2 Mujh par ġhaur kar, merī sun. Maiṅ bechainī se idhar-udhar ghūmte hue āheṅ bhar rahā hūṅ.
3 Kyoṅki dushman shor machā rahā, bedīn mujhe tang kar rahā hai. Wuh mujh par āfat lāne par tule hue haiṅ, ġhusse meṅ merī muḳhālafat kar rahe haiṅ.
4 Merā dil mere andar taṛap rahā hai, maut kī dahshat mujh par chhā gaī hai.
5 Ḳhauf aur larzish mujh par tārī huī, haibat mujh par ġhālib ā gaī hai.
7 Tab maiṅ dūr tak bhāg kar registān meṅ baserā kartā,
8 maiṅ jaldī se kahīṅ panāh letā jahāṅ tez āṅdhī aur tūfān se mahfūz rahtā.” (Silāh)
10 Din rāt wuh fasīl par chakkar kāṭte haiṅ, aur shahr fasād aur ḳharābī se bharā rahtā hai.
11 Us ke bīch meṅ tabāhī kī hukūmat hai, aur zulm aur fareb us ke chauk ko nahīṅ chhoṛte.
13 Lekin tū hī ne yih kiyā, tū jo mujh jaisā hai, jo merā qarībī dost aur hamrāz hai.
14 Merī tere sāth kitnī achchhī rifāqat thī jab ham hujūm ke sāth Allāh ke ghar kī taraf chalte gae.
16 Lekin maiṅ pukār kar Allāh se madad māṅgtā hūṅ, aur Rab mujhe najāt degā.
17 Maiṅ har waqt āh-o-zārī kartā aur karāhtā rahtā hūṅ, ḳhāh subah ho, ḳhāh dopahar yā shām. Aur wuh merī sunegā.
18 Wuh fidyā de kar merī jān ko un se chhuṛāegā jo mere ḳhilāf laṛ rahe haiṅ. Go un kī tādād baṛī hai wuh mujhe ārām-o-sukūn degā.
19 Allāh jo azal se taḳhtnashīn hai merī sun kar unheṅ munāsib jawāb degā. (Silāh) Kyoṅki na wuh tabdīl ho jāeṅge, na kabhī Allāh kā ḳhauf māneṅge.
21 Us kī zabān par makkhan kī-sī chiknī-chupṛī bāteṅ aur dil meṅ jang hai. Us ke tel se zyādā narm alfāz haqīqat meṅ khīṅchī huī talwāreṅ haiṅ.
23 Lekin ai Allāh, tū unheṅ tabāhī ke gaṛhe meṅ utarne degā. Ḳhūṅḳhār aur dhokebāz ādhī umr bhī nahīṅ pāeṅge balki jaldī mareṅge. Lekin maiṅ tujh par bharosā rakhtā hūṅ.
<- Zabūr 54Zabūr 56 ->