47
Allāh Tamām Qaumoṅ kā Bādshāh Hai
1 Qorah kī aulād kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie.
Ai tamām qaumo, tālī bajāo! Ḳhushī ke nāre lagā kar Allāh kī madahsarāī karo!
2 Kyoṅki Rab T'ālā purjalāl hai, wuh pūrī duniyā kā azīm Bādshāh hai.
3 Us ne qaumoṅ ko hamāre taht kar diyā, ummatoṅ ko hamāre pāṅwoṅ tale rakh diyā.
4 Us ne hamāre lie hamārī mīrās ko chun liyā, usī ko jo us ke pyāre bande Yāqūb ke lie faḳhr kā bāis thā. (Silāh)
5 Allāh ne saūd farmāyā to sāth sāth ḳhushī kā nārā buland huā, Rab bulandī par chaṛh gayā to sāth sāth narsingā bajtā rahā.
6 Madahsarāī karo, Allāh kī madahsarāī karo! Madahsarāī karo, hamāre Bādshāh kī madahsarāī karo!
7 Kyoṅki Allāh pūrī duniyā kā Bādshāh hai. Hikmat kā gīt gā kar us kī satāish karo.
8 Allāh qaumoṅ par hukūmat kartā hai, Allāh apne muqaddas taḳht par baiṭhā hai.
9 Dīgar qaumoṅ ke shurafā Ibrāhīm ke Ḳhudā kī qaum ke sāth jamā ho gae haiṅ, kyoṅki wuh duniyā ke hukmrānoṅ kā mālik hai. Wuh nihāyat hī sarbuland hai.
<- Zabūr 46Zabūr 48 ->