4
Shām ko Madad ke lie Duā
1 Dāūd kā zabūr. Mausīqī ke rāhnumā ke lie. Tārdār sāzoṅ ke sāth gānā hai.
Ai merī rāstī ke Ḳhudā, merī sun jab maiṅ tujhe pukārtā hūṅ. Ai tū jo musībat meṅ merī maḳhlasī rahā hai mujh par mehrbānī karke merī iltijā sun!
2 Ai ādamzādo, merī izzat kab tak ḳhāk meṅ milāī jātī rahegī? Tum kab tak bātil chīzoṅ se lipṭe rahoge, kab tak jhūṭ kī talāsh meṅ rahoge? (Silāh)
3 Jān lo ki Rab ne īmāndār ko apne lie alag kar rakhā hai. Rab merī sunegā jab maiṅ use pukārūṅga.
4 Ġhusse meṅ āte waqt gunāh mat karnā. Apne bistar par leṭ kar muāmale par soch-bichār karo, lekin dil meṅ, ḳhāmoshī se. (Silāh)
5 Rāstī kī qurbāniyāṅ pesh karo, aur Rab par bharosā rakho.
6 Bahutere shak kar rahe haiṅ, “Kaun hamāre hālāt ṭhīk karegā?” Ai Rab, apne chehre kā nūr ham par chamkā!
7 Tū ne mere dil ko ḳhushī se bhar diyā hai, aisī ḳhushī se jo un ke pās bhī nahīṅ hotī jin ke pās kasrat kā anāj aur angūr hai.
8 Maiṅ ārām se leṭ kar so jātā hūṅ, kyoṅki tū hī ai Rab mujhe hifāzat se basne detā hai.
<- Zabūr 3Zabūr 5 ->