2 Merī duā tere huzūr baḳhūr kī qurbānī kī tarah qabūl ho, mere terī taraf uṭhāe hue hāth shām kī ġhallā kī nazar kī tarah manzūr hoṅ.
3 Ai Rab, mere muṅh par pahrā biṭhā, mere hoṅṭoṅ ke darwāze kī nigahbānī kar.
4 Mere dil ko ġhalat bāt kī taraf māyl na hone de, aisā na ho ki maiṅ badkāroṅ ke sāth mil kar bure kām meṅ mulawwas ho jāūṅ aur un ke lazīz khānoṅ meṅ shirkat karūṅ.
6 Jab wuh gir kar us chaṭṭān ke hāth meṅ āeṅge jo un kā munsif hai to wuh merī bātoṅ par dhyān deṅge, aur unheṅ samajh āegī ki wuh kitnī pyārī haiṅ.
8 Ai Rab Qādir-e-mutlaq, merī āṅkheṅ tujh par lagī rahtī haiṅ, aur maiṅ tujh meṅ panāh letā hūṅ. Mujhe maut ke hawāle na kar.
9 Mujhe us jāl se mahfūz rakh jo unhoṅ ne mujhe pakaṛne ke lie bichhāyā hai. Mujhe badkāroṅ ke phandoṅ se bachāe rakh.
10 Bedīn mil kar un ke apne jāloṅ meṅ ulajh jāeṅ jabki maiṅ bach kar āge niklūṅ.
<- Zabūr 140Zabūr 142 ->