Link to home pageLanguagesLink to all Bible versions on this site
129
Madad ke lie Isrāīl kī Duā
1 Ziyārat kā gīt.
Isrāīl kahe, “Merī jawānī se hī mere dushman bār bār mujh par hamlā-āwar hue haiṅ.

2 Merī jawānī se hī wuh bār bār mujh par hamlā-āwar hue haiṅ. To bhī wuh mujh par ġhālib na āe.”

3 Hal chalāne wāloṅ ne merī pīṭh par hal chalā kar us par apnī lambī lambī reghāriyāṅ banāī haiṅ.

4 Rab rāst hai. Us ne bedīnoṅ ke rasse kāṭ kar mujhe āzād kar diyā hai.

 
5 Allāh kare ki jitne bhī Siyyūn se nafrat rakheṅ wuh sharmindā ho kar pīchhe haṭ jāeṅ.

6 Wuh chhatoṅ par kī ghās kī mānind hoṅ jo sahīh taur par baṛhne se pahle hī murjhā jātī hai

7 aur jis se na fasal kāṭne wālā apnā hāth, na pūle bāndhne wālā apnā bāzū bhar sake.

8 Jo bhī un se guzare wuh na kahe, “Rab tumheṅ barkat de.”

Ham Rab kā nām le kar tumheṅ barkat dete haiṅ!

<- Zabūr 128Zabūr 130 ->