128
Jis Ḳhāndān ko Allāh Barkat Detā Hai
1 Ziyārat kā gīt.
Mubārak hai wuh jo Rab kā ḳhauf mān kar us kī rāhoṅ par chaltā hai.
2 Yaqīnan tū apnī mehnat kā phal khāegā. Mubārak ho, kyoṅki tū kāmyāb hogā.
3 Ghar meṅ terī bīwī angūr kī phaldār bel kī mānind hogī, aur tere beṭe mez ke irdgird baiṭh kar zaitūn kī tāzā shāḳhoṅ *Is se murād hai paiwandkārī ke lie daraḳht se kāṭī gaī ṭahniyāṅ. kī mānind hoṅge.
4 Jo ādmī Rab kā ḳhauf māne use aisī hī barkat milegī.
5 Rab tujhe Koh-e-Siyyūn se barkat de. Wuh kare ki tū jīte-jī Yarūshalam kī ḳhushhālī dekhe,
6 ki tū apne potoṅ-nawāsoṅ ko bhī dekhe. Isrāīl kī salāmatī ho!
<- Zabūr 127Zabūr 129 ->- a Is se murād hai paiwandkārī ke lie daraḳht se kāṭī gaī ṭahniyāṅ.