126
Rab Apne Qaidiyoṅ ko Rihāī Detā Hai
1 Ziyārat kā gīt.
Jab Rab ne Siyyūn ko bahāl kiyā to aisā lag rahā thā ki ham ḳhāb dekh rahe haiṅ.
2 Tab hamārā muṅh haṅsī-ḳhushī se bhar gayā, aur hamārī zabān shādmānī ke nāre lagāne se ruk na sakī. Tab dīgar qaumoṅ meṅ kahā gayā, “Rab ne un ke lie zabardast kām kiyā hai.”
3 Rab ne wāqaī hamāre lie zabardast kām kiyā hai. Ham kitne ḳhush the, kitne ḳhush!
4 Ai Rab, hameṅ bahāl kar. Jis tarah mausam-e-barsāt meṅ Dasht-e-Najab ke ḳhushk nāle pānī se bhar jāte haiṅ usī tarah hameṅ bahāl kar.
5 Jo āṅsū bahā bahā kar bīj boeṅ wuh ḳhushī ke nāre lagā kar fasal kāṭeṅge.
6 Wuh rote hue bīj bone ke lie nikleṅge, lekin jab fasal pak jāe to ḳhushī ke nāre lagā kar pūle uṭhāe apne ghar lauṭeṅge.
<- Zabūr 125Zabūr 127 ->