122
Yarūshalam par Barkat
1 Dāūd kā ziyārat kā gīt.
Maiṅ un se ḳhush huā jinhoṅ ne mujh se kahā, “Āo, ham Rab ke ghar chaleṅ.”
2 Ai Yarūshalam, ab hamāre pāṅw tere darwāzoṅ meṅ khaṛe haiṅ.
3 Yarūshalam Shahr yoṅ banāyā gayā hai ki us ke tamām hisse mazbūtī se ek dūsre ke sāth juṛe hue haiṅ.
4 Wahāṅ qabīle, hāṅ Rab ke qabīle hāzir hote haiṅ tāki Rab ke nām kī satāish kareṅ jis tarah Isrāīl ko farmāyā gayā hai.
5 Kyoṅki wahāṅ taḳht-e-adālat karne ke lie lagāe gae haiṅ, wahāṅ Dāūd ke gharāne ke taḳht haiṅ.
6 Yarūshalam ke lie salāmatī māṅgo! “Jo tujh se pyār karte haiṅ wuh sukūn pāeṅ.
7 Terī fasīl meṅ salāmatī aur tere mahaloṅ meṅ sukūn ho.”
8 Apne bhāiyoṅ aur hamsāyoṅ kī ḳhātir maiṅ kahūṅgā, “Tere andar salāmatī ho!”
9 Rab hamāre Ḳhudā ke ghar kī ḳhātir maiṅ terī ḳhushhālī kā tālib rahūṅgā.
<- Zabūr 121Zabūr 123 ->