Link to home pageLanguagesLink to all Bible versions on this site
114
Misr meṅ Allāh ke Mojizāt
1 Jab Isrāīl Misr se rawānā huā aur Yāqūb kā gharānā ajnabī zabān bolne wālī qaum se nikal āyā

2 to Yahūdāh Allāh kā maqdis ban gayā aur Isrāīl us kī bādshāhī.

3 Yih dekh kar samundar bhāg gayā aur Dariyā-e-Yardan pīchhe haṭ gayā.

4 Pahāṛ menḍhoṅ kī tarah kūdne aur pahāṛiyāṅ jawān bheṛ-bakriyoṅ kī tarah phāṅdne lagīṅ.

 
5 Ai samundar, kyā huā ki tū bhāg gayā hai? Ai Yardan, kyā huā ki tū pīchhe haṭ gayā hai?

6 Ai pahāṛo, kyā huā ki tum menḍhoṅ kī tarah kūdne lage ho? Ai pahāṛiyo, kyā huā ki tum jawān bheṛ-bakriyoṅ kī tarah phāṅdne lagī ho?

7 Ai zamīn, Rab ke huzūr, Yāqūb ke Ḳhudā ke huzūr laraz uṭh,

8 us ke sāmne thartharā jis ne chaṭṭān ko johaṛ meṅ aur saḳht patthar ko chashme meṅ badal diyā.

<- Zabūr 113Zabūr 115 ->