6 Ai kāhil, chiyūṅṭī ke pās jā kar us kī rāhoṅ par ġhaur kar! Us ke namūne se hikmat sīkh le. 7 Us par na sardār, na afsar yā hukmrān muqarrar hai, 8 to bhī wuh garmiyoṅ meṅ sardiyoṅ ke lie khāne kā zaḳhīrā kar rakhtī, fasal ke dinoṅ meṅ ḳhūb ḳhurāk ikaṭṭhī kartī hai. 9 Ai kāhil, tū mazīd kab tak soyā rahegā, kab jāg uṭhegā? 10 Tū kahtā hai, “Mujhe thoṛī der sone de, thoṛī der ūṅghne de, thoṛī der hāth par hāth dhare baiṭhne de tāki ārām kar sakūṅ.” 11 Lekin ḳhabardār, jald hī ġhurbat rāhzan kī tarah tujh par āegī, muflisī hathiyār se lais ḍākū kī tarah tujh par ṭūṭ paṛegī.
12 Badmāsh aur kamīnā kis tarah pahchānā jātā hai? Wuh muṅh meṅ jhūṭ lie phirtā hai, 13 apnī āṅkhoṅ, pāṅwoṅ aur ungliyoṅ se ishārā karke tujhe fareb ke jāl meṅ phaṅsāne kī koshish kartā hai. 14 Us ke dil meṅ kajī hai, aur wuh har waqt bure mansūbe bāndhne meṅ lagā rahtā hai. Jahāṅ bhī jāe wahāṅ jhagaṛe chhiṛ jāte haiṅ. 15 Lekin aise shaḳhs par achānak hī āfat āegī. Ek hī lamhe meṅ wuh pāsh pāsh ho jāegā. Tab us kā ilāj nāmumkin hogā.
16 Rab chhih chīzoṅ se nafrat balki sāt chīzoṅ se ghin khātā hai,
17 wuh āṅkheṅ jo ġhurūr se deḳhtī haiṅ, wuh zabān jo jhūṭ boltī hai, wuh hāth jo begunāhoṅ ko qatl karte haiṅ, 18 wuh dil jo bure mansūbe bāndhtā hai, wuh pāṅw jo dūsroṅ ko nuqsān pahuṅchāne ke lie bhāgte haiṅ, 19 wuh gawāh jo adālat meṅ jhūṭ boltā aur wuh jo bhāiyoṅ meṅ jhagaṛā paidā kartā hai.
27 Kyā insān apnī jholī meṅ bhaṛaktī āg yoṅ uṭhā kar phir saktā hai ki us ke kapṛe na jaleṅ? 28 Yā kyā koī dahakte koeloṅ par yoṅ phir saktā hai ki us ke pāṅw jhulas na jāeṅ? 29 Isī tarah jo kisī dūsre kī bīwī se hambistar ho jāe us kā anjām burā hai, jo bhī dūsre kī bīwī ko chheṛe use sazā milegī. 30 Jo bhūk ke māre apnā peṭ bharne ke lie chorī kare use log had se zyādā haqīr nahīṅ jānte, 31 hālāṅki use chorī kie hue māl ko sāt gunā wāpas karnā hai aur us ke ghar kī daulat jātī rahegī. 32 Lekin jo kisī dūsre kī bīwī ke sāth zinā kare wuh beaql hai. Jo apnī jān ko tabāh karnā chāhe wuhī aisā kartā hai. 33 Us kī piṭāī aur be'izzatī kī jāegī, aur us kī sharmindagī kabhī nahīṅ miṭegī. 34 Kyoṅki shauhar ġhairat khā kar aur taish meṅ ā kar berahmī se badlā legā. 35 Na wuh koī muāwazā qabūl karegā, na rishwat legā, ḳhāh kitnī zyādā kyoṅ na ho.
<- Amsāl 5Amsāl 7 ->