6 Us kī bātoṅ meṅ izāfā mat kar, warnā wuh tujhe ḍānṭegā aur tū jhūṭā ṭhahregā.
10 Mālik ke sāmne mulāzim par tohmat na lagā, aisā na ho ki wuh tujh par lānat bheje aur tujhe is kā burā natījā bhugatnā paṛe.
12 Aisī nasl bhī hai jo apnī nazar meṅ pāk-sāf hai, go us kī ġhilāzat dūr nahīṅ huī.
13 Aisī nasl bhī hai jis kī āṅkheṅ baṛe takabbur se deḳhtī haiṅ, jo apnī palakeṅ baṛe ghamanḍ se mārtī hai.
14 Aisī nasl bhī hai jis ke dāṅt talwāreṅ aur jabṛe chhuriyāṅ haiṅ tāki duniyā ke musībatzadoṅ ko khā jāeṅ, muāshare ke zarūratmandoṅ ko haṛap kar leṅ.
17 Jo āṅkh bāp kā mazāq uṛāe aur māṅ kī hidāyat ko haqīr jāne use wādī ke kawwe apnī choṅchoṅ se nikāleṅge aur giddh ke bachche khā jāeṅge.
18 Tīn bāteṅ mujhe hairatzadā kartī haiṅ balki chār haiṅ jin kī mujhe samajh nahīṅ ātī, 19 āsmān kī bulandiyoṅ par uqāb kī rāh, chaṭṭān par sāṅp kī rāh, samundar ke bīch meṅ jahāz kī rāh aur wuh rāh jo mard kuṅwārī ke sāth chaltā hai.
20 Zinākār aurat kī yih rāh hai, wuh khā letī aur phir apnā muṅh poṅchh kar kahtī hai, “Mujh se koī ġhaltī nahīṅ huī.”
21 Zamīn tīn chīzoṅ se laraz uṭhtī hai balki chār chīzeṅ bardāsht nahīṅ kar saktī, 22 wuh ġhulām jo bādshāh ban jāe, wuh ahmaq jo jī bhar kar khānā khā sake, 23 wuh nafratangez [a] aurat jis kī shādī ho jāe aur wuh naukarānī jo apnī mālikan kī milkiyat par qabzā kare.
24 Zamīn kī chār maḳhlūqāt nihāyat hī dānishmand haiṅ hālāṅki chhoṭī haiṅ. 25 Chiyūṅṭiyāṅ kamzor nasl haiṅ lekin garmiyoṅ ke mausam meṅ sardiyoṅ ke lie ḳhurāk jamā kartī haiṅ, 26 bijjū kamzor nasl haiṅ lekin chaṭṭānoṅ meṅ hī apne ghar banā lete haiṅ, 27 ṭiḍḍiyoṅ kā bādshāh nahīṅ hotā tāham sab pare bāndh kar nikaltī haiṅ, 28 chhipkliyāṅ go hāth se pakaṛī jātī haiṅ, tāham shāhī mahaloṅ meṅ pāī jātī haiṅ.
29 Tīn balki chār jāndār purwaqār andāz meṅ chalte haiṅ. 30 Pahle, sherbabar jo jānwaroṅ meṅ zorāwar hai aur kisī se bhī pīchhe nahīṅ haṭtā, 31 dūsre, murġhā jo akaṛ kar chaltā hai, tīsre, bakrā aur chauthe apnī fauj ke sāth chalne wālā bādshāh.
32 Agar tū ne maġhrūr ho kar hamāqat kī yā bure mansūbe bāndhe to apne muṅh par hāth rakh kar ḳhāmosh ho jā, 33 kyoṅki dūdh bilone se makkhan, nāk ko maroṛne [b] se ḳhūn aur kisī ko ġhussā dilāne se laṛāī-jhagaṛā paidā hotā hai.
<- Amsāl 29Amsāl 31 ->