1 Mere bhāiyo, jo kuchh bhī ho, Ḳhudāwand meṅ ḳhush raheṅ. Maiṅ āp ko yih bāt batāte rahne se kabhī thaktā nahīṅ, kyoṅki aisā karne se āp mahfūz rahte haiṅ.
Yahūdiyoṅ se Ḳhabardār
2 Kuttoṅ se ḳhabardār! Un sharīr mazdūroṅ se hoshyār rahnā jo jism kī kāṅṭ-chhāṅṭ yānī ḳhatnā karwāte haiṅ. 3 Kyoṅki ham hī haqīqī ḳhatnā ke pairokār haiṅ, ham hī haiṅ jo Allāh ke Rūh meṅ parastish karte, Masīh Īsā par faḳhr karte aur insānī ḳhūbiyoṅ par bharosā nahīṅ karte.
Paulus kī Shaḳhsī Gawāhī
4 Bāt yih nahīṅ ki merā apnī insānī ḳhūbiyoṅ par bharosā karne kā koī jawāz na hotā. Jab dūsre apnī insānī ḳhūbiyoṅ par faḳhr karte haiṅ to maiṅ un kī nisbat zyādā kar saktā hūṅ. 5 Merā ḳhatnā huā jab maiṅ abhī āṭh din kā bachchā thā. Maiṅ Isrāīl qaum ke qabīle Binyamīn kā hūṅ, aisā Ibrānī jis ke wālidain bhī Ibrānī the. Maiṅ Farīsiyoṅ kā membar thā jo Yahūdī sharīat ke kaṭar pairokār haiṅ. 6 Maiṅ itnā sargarm thā ki Masīh kī jamātoṅ ko īzā pahuṅchāī. Hāṅ, maiṅ sharīat par amal karne meṅ rāstbāz aur be'ilzām thā.
Haqīqī Fāydā
7 Us waqt yih sab kuchh mere nazdīk nafā kā bāis thā, lekin ab maiṅ ise Masīh meṅ hone ke bāis nuqsān hī samajhtā hūṅ. 8 Hāṅ, balki maiṅ sab kuchh is azīmtarīn bāt ke sabab se nuqsān samajhtā hūṅ ki maiṅ apne Ḳhudāwand Masīh Īsā ko jāntā hūṅ. Usī kī ḳhātir mujhe tamām chīzoṅ kā nuqsān pahuṅchā hai. Maiṅ unheṅ kūṛā hī samajhtā hūṅ tāki Masīh ko hāsil karūṅ 9 aur us meṅ pāyā jāūṅ. Lekin maiṅ is naubat tak apnī us rāstbāzī ke zariye nahīṅ pahuṅch saktā jo sharīat ke tābe rahne se hāsil hotī hai. Is ke lie wuh rāstbāzī zarūrī hai jo Masīh par īmān lāne se miltī hai, jo Allāh kī taraf se hai aur jo īmān par mabnī hotī hai. 10 Hāṅ, maiṅ sab kuchh kūṛā hī samajhtā hūṅ tāki Masīh ko, us ke jī uṭhne kī qudrat aur us ke dukhoṅ meṅ sharīk hone kā fazl jān lūṅ. Yoṅ maiṅ us kī maut kā hamshakl bantā jā rahā hūṅ, 11 is ummīd meṅ ki maiṅ kisī na kisī tarah murdoṅ meṅ se jī uṭhne kī naubat tak pahuṅchūṅgā.
Inām Hāsil Karne ke lie Dauṛeṅ
12 Matlab yih nahīṅ ki maiṅ yih sab kuchh hāsil kar chukā yā kāmil ho chukā hūṅ. Lekin maiṅ manzil-e-maqsūd kī taraf dauṛā huā jātā hūṅ tāki wuh kuchh pakaṛ lūṅ jis ke lie Masīh Īsā ne mujhe pakaṛ liyā hai. 13 Bhāiyo, meṅ apne bāre meṅ yih ḳhayāl nahīṅ kartā ki maiṅ ise hāsil kar chukā hūṅ. Lekin maiṅ is ek hī bāt par dhyān detā hūṅ, jo kuchh mere pīchhe hai wuh maiṅ bhūl kar saḳht tag-o-dau ke sāth us taraf baṛhtā hūṅ jo āge paṛā hai. 14 Maiṅ sīdhā manzil-e-maqsūd kī taraf dauṛā huā jātā hūṅ tāki wuh inām hāsil karūṅ jis ke lie Allāh ne mujhe Masīh Īsā meṅ āsmān par bulāyā hai.
Masīh meṅ Puḳhtā Honā
15 Chunāṅche ham meṅ se jitne kāmil haiṅ āeṅ, ham aisī soch rakheṅ. Aur agar āp kisī bāt meṅ farq sochte haiṅ to Allāh āp par yih bhī zāhir karegā. 16 Jo bhī ho, jis marhale tak ham pahuṅch gae haiṅ āeṅ, ham us ke mutābiq zindagī guzāreṅ.
17 Bhāiyo, mil kar mere naqsh-e-qadam par chaleṅ. Aur un par ḳhūb dhyān deṅ jo hamāre namūne par chalte haiṅ. 18 Kyoṅki jis tarah maiṅ ne āp ko kaī bār batāyā hai aur ab ro ro kar batā rahā hūṅ, bahut-se log apne chāl-chalan se zāhir karte haiṅ ki wuh Masīh kī salīb ke dushman haiṅ. 19 Aise logoṅ kā anjām halākat hai. Khāne-pīne kī pābandiyāṅ aur ḳhatne par faḳhr un kā Ḳhudā ban gayā hai. *Lafzī tarjumā: Un kā peṭ aur un kā apnī sharm par faḳhr un kā Ḳhudā ban gayā hai. Hāṅ, wuh sirf duniyāwī soch rakhte haiṅ. 20 Lekin ham āsmān ke shahrī haiṅ, aur ham shiddat se is intazār meṅ haiṅ ki hamārā Najātdahindā aur Ḳhudāwand Īsā Masīh wahīṅ se āe. 21 Us waqt wuh hamāre pasthāl badanoṅ ko badal kar apne jalālī badan ke hamshakl banā degā. Aur yih wuh us quwwat ke zariye karegā jis se wuh tamām chīzeṅ apne tābe kar saktā hai.