3 Pahle mahīne ke pandrahweṅ din Isrāīlī Rāmsīs se rawānā hue. Yānī Fasah ke din ke bād ke din wuh baṛe iḳhtiyār ke sāth tamām Misriyoṅ ke deḳhte deḳhte chale gae. 4 Misrī us waqt apne pahlauṭhoṅ ko dafn kar rahe the, kyoṅki Rab ne pahlauṭhoṅ ko mār kar un ke dewatāoṅ kī adālat kī thī.
5 Rāmsīs se Isrāīlī Sukkāt pahuṅch gae jahāṅ unhoṅ ne pahlī martabā apne ḍere lagāe. 6 Wahāṅ se wuh Etām pahuṅche jo registān ke kināre par wāqe hai. 7 Etām se wuh wāpas muṛ kar Fī-haḳhīrot kī taraf baṛhe jo Bāl-safon ke mashriq meṅ hai. Wuh Mijdāl ke qarīb ḳhaimāzan hue. 8 Phir wuh Fī-haḳhīrot se kūch karke samundar meṅ se guzar gae. Is ke bād wuh tīn din Etām ke registān meṅ safr karte karte Mārā pahuṅch gae aur wahāṅ apne ḳhaime lagāe. 9 Mārā se wuh Elīm chale gae jahāṅ 12 chashme aur khajūr ke 70 daraḳht the. Wahāṅ ṭhaharne ke bād 10 wuh Bahr-e-Qulzum ke sāhil par ḳhaimāzan hue, 11 phir Dasht-e-Sīn meṅ pahuṅch gae.
12 Un ke agle marhale yih the: Dufqā, 13-37 Alūs, Rafīdīm jahāṅ pīne kā pānī dastyāb na thā, Dasht-e-Sīnā, Qabrot-hattāwā, Hasīrāt, Ritmā, Rimmon-fāras, Libnā, Rissā, Qahīlātā, Sāfar Pahāṛ, Harādā, Maqhīlot, Tahat, Tārah, Mitaqā, Hashmūnā, Mausīrot, Banī-yāqān, Hor-hajjidjād, Yutbātā, Abrūnā, Asyūn-jābar, Dasht-e-Sīn meṅ wāqe Qādis aur Hor Pahāṛ jo Adom kī sarhad par wāqe hai.
38 Wahāṅ Rab ne Hārūn Imām ko hukm diyā ki wuh Hor Pahāṛ par chaṛh jāe. Wahīṅ wuh pāṅchweṅ māh ke pahle din faut huā. Isrāīliyoṅ ko Misr se nikle 40 sāl guzar chuke the. 39 Us waqt Hārūn 123 sāl kā thā.
40 Un dinoṅ meṅ Arād ke Kanānī bādshāh ne sunā ki Isrāīlī mere mulk kī taraf baṛh rahe haiṅ. Wuh Kanān ke junūb meṅ hukūmat kartā thā.
41-47 Hor Pahāṛ se rawānā ho kar Isrāīlī zail kī jaghoṅ par ṭhahre: Zalmūnā, Fūnon, Obot, Aiye-abārīm jo Moāb ke ilāqe meṅ thā, Dībon-jad, Almūn-diblātāym aur Nabū ke qarīb wāqe Abārīm kā pahāṛī ilāqā. 48 Wahāṅ se unhoṅ ne Yardan kī Wādī meṅ utar kar Moāb ke maidānī ilāqe meṅ apne ḍere lagāe. Ab wuh Dariyā-e-Yardan ke mashriqī kināre par Yarīhū Shahr ke sāmne the. 49 Un ke ḳhaime Bait-yasīmot se le kar Abīl-shittīm tak lage the.