5 Mūsā ne un kā muāmalā Rab ke sāmne pesh kiyā 6 to Rab ne us se kahā, 7 “Jo bāt Silāfihād kī beṭiyāṅ kar rahī haiṅ wuh durust hai. Unheṅ zarūr un ke bāp ke rishtedāroṅ ke sāth zamīn milnī chāhie. Unheṅ bāp kā wirsā mil jāe. 8 Isrāīliyoṅ ko bhī batānā ki jab bhī koī ādmī mar jāe jis kā beṭā na ho to us kī beṭī ko us kī mīrās mil jāe. 9 Agar us kī beṭī bhī na ho to us ke bhāiyoṅ ko us kī mīrās mil jāe. 10 Agar us ke bhāī bhī na hoṅ to us ke bāp ke bhāiyoṅ ko us kī mīrās mil jāe. 11 Agar yih bhī na hoṅ to us ke sab se qarībī rishtedār ko us kī mīrās mil jāe. Wuh us kī zātī milkiyat hogī. Yih usūl Isrāīliyoṅ ke lie qānūnī haisiyat rakhtā hai. Wuh ise waisā māneṅ jaisā Rab ne Mūsā ko hukm diyā hai.”
15 Mūsā ne Rab se kahā, 16 “Ai Rab, tamām jānoṅ ke Ḳhudā, jamāt par kisī ādmī ko muqarrar kar 17 jo un ke āge āge jang ke lie nikle aur un ke āge āge wāpas ā jāe, jo unheṅ bāhar le jāe aur wāpas le āe. Warnā Rab kī jamāt un bheṛoṅ kī mānind hogī jin kā koī charwāhā na ho.”
18 Jawāb meṅ Rab ne Mūsā se kahā, “Yashua bin Nūn ko chun le jis meṅ merā Rūh hai, aur apnā hāth us par rakh. 19 Use Iliyazar Imām aur pūrī jamāt ke sāmne khaṛā karke un ke rūbarū hī use rāhnumāī kī zimmedārī de. 20 Apne iḳhtiyār meṅ se kuchh use de tāki Isrāīl kī pūrī jamāt us kī itā'at kare. 21 Rab kī marzī jānane ke lie wuh Iliyazar Imām ke sāmne khaṛā hogā to Iliyazar Rab ke sāmne Ūrīm aur Tummīm istemāl karke us kī marzī dariyāft karegā. Usī ke hukm par Yashua aur Isrāīl kī pūrī jamāt ḳhaimāgāh se nikleṅge aur wāpas āeṅge.”
22 Mūsā ne aisā hī kiyā. Us ne Yashua ko chun kar Iliyazar aur pūrī jamāt ke sāmne khaṛā kiyā. 23 Phir us ne us par apne hāth rakh kar use rāhnumāī kī zimmedārī sauṅpī jis tarah Rab ne use batāyā thā.
<- Gintī 26Gintī 28 ->