8 Maiṅ kis tarah un par lānat bhejūṅ jin par Allāh ne lānat nahīṅ bhejī? Maiṅ kis tarah unheṅ badduā dūṅ jinheṅ Rab ne badduā nahīṅ dī?
9 Maiṅ unheṅ chaṭṭānoṅ kī choṭī se deḳhtā hūṅ, pahāṛiyoṅ se un kā mushāhadā kartā hūṅ. Wāqaī yih ek aisī qaum hai jo dūsroṅ se alag rahtī hai. Yih apne āp ko dūsrī qaumoṅ se mumtāz samajhtī hai.
10 Kaun Yāqūb kī aulād ko gin saktā hai jo gard kī mānind beshumār hai. Kaun Isrāīliyoṅ kā chauthā hissā bhī gin saktā hai? Rab kare ki maiṅ rāstbāzoṅ kī maut marūṅ, ki merā anjām un ke anjām jaisā achchhā ho.”
11 Balaq ne Bilām se kahā, “Āp ne mere sāth kyā kiyā hai? Maiṅ āp ko apne dushmanoṅ par lānat bhejne ke lie lāyā aur āp ne unheṅ achchhī-ḳhāsī barkat dī hai.” 12 Bilām ne jawāb diyā, “Kyā lāzim nahīṅ ki maiṅ wuhī kuchh bolūṅ jo Rab ne batāne ko kahā hai?”
16 Rab Bilām se milā. Us ne use Balaq ke lie paiġhām diyā aur kahā, “Balaq ke pās wāpas jā aur use yih paiġhām sunā de.” 17 Wuh wāpas chalā gayā. Balaq ab tak apne sardāroṅ ke sāth apnī qurbānī ke pās khaṛā thā. Us ne us se pūchhā, “Rab ne kyā kahā?” 18 Bilām ne kahā, “Ai Balaq, uṭho aur suno. Ai Safor ke beṭe, merī bāt par ġhaur karo.
19 Allāh ādmī nahīṅ jo jhūṭ boltā hai. Wuh insān nahīṅ jo koī faislā karke bād meṅ pachhtāe. Kyā wuh kabhī apnī bāt par amal nahīṅ kartā? Kyā wuh kabhī apnī bāt pūrī nahīṅ kartā?
20 Mujhe barkat dene ko kahā gayā hai. Us ne barkat dī hai aur maiṅ yih barkat rok nahīṅ saktā.
21 Yāqūb ke gharāne meṅ ḳharābī nazar nahīṅ ātī, Isrāīl meṅ dukh dikhāī nahīṅ detā. Rab us kā Ḳhudā us ke sāth hai, aur qaum bādshāh kī ḳhushī meṅ nāre lagātī hai.
22 Allāh unheṅ Misr se nikāl lāyā, aur unheṅ janglī bail kī tāqat hāsil hai.
23 Yāqūb ke gharāne ke ḳhilāf jādūgarī nākām hai, Isrāīl ke ḳhilāf ġhaibdānī befāydā hai. Ab Yāqūb ke gharāne se kahā jāegā, ‘Allāh ne kaisā kām kiyā hai!’
24 Isrāīlī qaum shernī kī tarah uṭhtī aur sherbabar kī tarah khaṛī ho jātī hai. Jab tak wuh apnā shikār na khā le wuh ārām nahīṅ kartā, jab tak wuh māre hue logoṅ kā ḳhūn na pī le wuh nahīṅ leṭtā.”
25 Yih sun kar Balaq ne kahā, “Agar āp un par lānat bhejne se inkār kareṅ, kam az kam unheṅ barkat to na deṅ.” 26 Bilām ne jawāb diyā, “Kyā maiṅ ne āp ko nahīṅ batāyā thā ki jo kuchh bhī Rab kahegā maiṅ wuhī karūṅga?”