3 Lekin Mūsā nihāyat halīm thā. Duniyā meṅ us jaisā halīm koī nahīṅ thā. 4 Achānak Rab Mūsā, Hārūn aur Mariyam se muḳhātib huā, “Tum tīnoṅ bāhar nikal kar mulāqāt ke ḳhaime ke pās āo.”
9 Rab kā ġhazab un par ān paṛā, aur wuh chalā gayā. 10 Jab bādal kā satūn ḳhaime se dūr huā to Mariyam kī jild barf kī mānind safed thī. Wuh koṛh kā shikār ho gaī thī. Hārūn us kī taraf muṛā to us kī hālat dekhī 11 aur Mūsā se kahā, “Mere āqā, mehrbānī karke hameṅ is gunāh kī sazā na deṅ jo hamārī hamāqat ke bāis sarzad huā hai. 12 Mariyam ko is hālat meṅ na chhoṛeṅ. Wuh to aise bachche kī mānind hai jo murdā paidā huā ho, jis ke jism kā ādhā hissā gal chukā ho.”
13 Tab Mūsā ne pukār kar Rab se kahā, “Ai Allāh, mehrbānī karke use shafā de.” 14 Rab ne jawāb meṅ Mūsā se kahā, “Agar Mariyam kā bāp us ke muṅh par thūktā to kyā wuh pūre hafte tak sharm mahsūs na kartī? Use ek hafte ke lie ḳhaimāgāh ke bāhar band rakh. Is ke bād use wāpas lāyā jā saktā hai.”
15 Chunāṅche Mariyam ko ek hafte ke lie ḳhaimāgāh ke bāhar band rakhā gayā. Log us waqt tak safr ke lie rawānā na hue jab tak use wāpas na lāyā gayā. 16 Jab wuh wāpas āī to Isrāīlī Hasīrāt se rawānā ho kar Fārān ke registān meṅ ḳhaimāzan hue.
<- Gintī 11Gintī 13 ->