3 Zail meṅ sūbe ke un buzurgoṅ kī fahrist hai jo Yarūshalam meṅ ābād hue. (Aksar log Yahūdāh ke bāqī shahroṅ aur dehāt meṅ apnī maurūsī zamīn par baste the. In meṅ ām Isrāīlī, imām, Lāwī, Rab ke ghar ke ḳhidmatgār aur Sulemān ke ḳhādimoṅ kī aulād shāmil the. 4 Lekin Yahūdāh aur Binyamīn ke chand ek log Yarūshalam meṅ jā base.)
5 Silonī ke ḳhāndān kā Māsiyāh bin Bārūk bin Kulhozā bin Hazāyāh bin Adāyāh bin Yūyārīb bin Zakariyāh.
6 Fāras ke ḳhāndān ke 468 asar-o-rasūḳh rakhne wāle ādmī apne ḳhāndānoṅ samet Yarūshalam meṅ rihāishpazīr the.
7 Binyamīn kā qabīlā:
8 Sallū ke sāth Jabbī aur Sallī the. Kul 928 ādmī the. 9 In par Yoel bin Zikrī muqarrar thā jabki Yahūdāh bin Sanūsāh shahr kī intazāmiyā meṅ dūsre nambar par ātā thā.
10 Yarūshalam meṅ zail ke imām rahte the.
12 In imāmoṅ ke 822 bhāī Rab ke ghar meṅ ḳhidmat karte the.
15 Zail ke Lāwī Yarūshalam meṅ rihāishpazīr the. Samāyāh bin Hassūb bin Azrīqām bin Hasbiyāh bin Bunnī,
16 nīz Sabbatī aur Yūzabad jo Allāh ke ghar se bāhar ke kām par muqarrar the,
17 nīz shukrguzārī kā rāhnumā Mattaniyāh bin Mīkā bin Zabdī bin Āsaf thā jo duā karte waqt hamd-o-sanā kī rāhnumāī kartā thā,
18 Lāwiyoṅ ke kul 284 mard muqaddas shahr meṅ rahte the.
19 Rab ke ghar ke darbānoṅ ke darj-e-zail mard Yarūshalam meṅ rahte the.
21 Rab ke ghar ke ḳhidmatgār Ofal Pahāṛī par baste the. Zīhā aur Jisfā un par muqarrar the.
22 Yarūshalam meṅ rahne wāle Lāwiyoṅ kā nigarān Uzzī bin Bānī bin Hasbiyāh bin Mattaniyāh bin Mīkā thā. Wuh Āsaf ke ḳhāndān kā thā, us ḳhāndān kā jis ke gulūkār Allāh ke ghar meṅ ḳhidmat karte the. 23 Bādshāh ne muqarrar kiyā thā ki Āsaf ke ḳhāndān ke kin kin ādmiyoṅ ko kis kis din Rab ke ghar meṅ gīt gāne kī ḳhidmat karnī hai.
24 Fatahiyāh bin Mashezabel Isrāīlī muāmaloṅ meṅ Fāras ke bādshāh kī numāindagī kartā thā. Wuh Zārah bin Yahūdāh ke ḳhāndān kā thā.
25 Yahūdāh ke qabīle ke afrād zail ke shahroṅ meṅ ābād the.
31 Binyamīn ke qabīle kī rihāish zail ke maqāmoṅ meṅ thī.
36 Lāwī qabīle ke kuchh ḳhāndān jo pahle Yahūdāh meṅ rahte the ab Binyamīn ke qabāylī ilāqe meṅ ābād hue.
<- Nahmiyāh 10Nahmiyāh 12 ->