Link to home pageLanguagesLink to all Bible versions on this site
14
Īsā ke ḳhilāf Mansūbābandiyāṅ
1 Fasah aur Beḳhamīrī Roṭī kī Īd qarīb ā gaī thī. Sirf do din rah gae the. Rāhnumā imām aur sharīat ke ulamā Īsā ko kisī chālākī se giriftār karke qatl karne kī talāsh meṅ the. 2 Unhoṅ ne kahā, “Lekin yih īd ke daurān nahīṅ honā chāhie, aisā na ho ki awām meṅ halchal mach jāe.”
Ḳhātūn Īsā par Ḳhushbū Unḍeltī Hai
3 Itne meṅ Īsā Bait-aniyāh ā kar ek ādmī ke ghar meṅ dāḳhil huā jo kisī waqt koṛh kā marīz thā. Us kā nām Shamāūn thā. Īsā khānā khāne ke lie baiṭh gayā to ek aurat āī. Us ke pās ḳhālis jaṭāmāsī ke nihāyat qīmtī itr kā itrdān thā. Us kā sar toṛ kar us ne itr Īsā ke sar par unḍel diyā. 4 Hāzirīn meṅ se kuchh nārāz hue. “Itnā qīmtī itr zāe karne kī kyā zarūrat thī? 5 Is kī qīmat kam az kam chāṅdī ke 300 sikke thī. Agar ise bechā jātā to is ke paise ġharīboṅ ko die jā sakte the.” Aisī bāteṅ karte hue unhoṅ ne use jhiṛkā.

6 Lekin Īsā ne kahā, “Ise chhoṛ do, tum ise kyoṅ tang kar rahe ho? Is ne to mere lie ek nek kām kiyā hai. 7 Ġharīb to hameshā tumhāre pās raheṅge, aur tum jab bhī chāho un kī madad kar sakoge. Lekin maiṅ hameshā tumhāre sāth nahīṅ rahūṅgā. 8 Jo kuchh wuh kar saktī thī us ne kiyā hai. Mujh par itr unḍelne se wuh muqarrarā waqt se pahle mere badan ko dafnāne ke lie taiyār kar chukī hai. 9 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki tamām duniyā meṅ jahāṅ bhī Allāh kī ḳhushḳhabrī kā elān kiyā jāegā wahāṅ log is ḳhātūn ko yād karke wuh kuchh sunāeṅge jo is ne kiyā hai.”

Īsā ko Dushman ke Hawāle Karne kā Mansūbā
10 Phir Yahūdāh Iskariyotī jo bārah shāgirdoṅ meṅ se ek thā rāhnumā imāmoṅ ke pās gayā tāki Īsā ko un ke hawāle karne kī bāt kare. 11 Us ke āne kā maqsad sun kar wuh ḳhush hue aur use paise dene kā wādā kiyā. Chunāṅche wuh Īsā ko un ke hawāle karne kā mauqā ḍhūṅḍne lagā.
Fasah kī Īd ke lie Taiyāriyāṅ
12 Beḳhamīrī Roṭī kī Īd āī jab log Fasah ke lele ko qurbān karte the. Īsā ke shāgirdoṅ ne us se pūchhā, “Ham kahāṅ āp ke lie Fasah kā khānā taiyār kareṅ?”

13 Chunāṅche Īsā ne un meṅ se do ko yih hidāyat de kar Yarūshalam bhej diyā ki “Jab tum shahr meṅ dāḳhil hoge to tumhārī mulāqāt ek ādmī se hogī jo pānī kā ghaṛā uṭhāe chal rahā hogā. Us ke pīchhe ho lenā. 14 Jis ghar meṅ wuh dāḳhil ho us ke mālik se kahnā, ‘Ustād āp se pūchhte haiṅ ki wuh kamrā kahāṅ hai jahāṅ maiṅ apne shāgirdoṅ ke sāth Fasah kā khānā khāūṅ?’ 15 Wuh tumheṅ dūsrī manzil par ek baṛā aur sajā huā kamrā dikhāegā. Wuh taiyār hogā. Hamāre lie Fasah kā khānā wahīṅ taiyār karnā.”

16 Donoṅ chale gae to shahr meṅ dāḳhil ho kar sab kuchh waisā hī pāyā jaisā Īsā ne unheṅ batāyā thā. Phir unhoṅ ne Fasah kā khānā taiyār kiyā.

Ġhaddār Kaun Hai?
17 Shām ke waqt Īsā bārah shāgirdoṅ samet wahāṅ pahuṅch gayā. 18 Jab wuh mez par baiṭhe khānā khā rahe the to us ne kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, tum meṅ se ek jo mere sāth khānā khā rahā hai mujhe dushman ke hawāle kar degā.”

19 Shāgird yih sun kar ġhamgīn hue. Bārī bārī unhoṅ ne us se pūchhā, “Maiṅ to nahīṅ hūṅ?”

20 Īsā ne jawāb diyā, “Tum bārah meṅ se ek hai. Wuh mere sāth apnī roṭī sālan ke bartan meṅ ḍāl rahā hai. 21 Ibn-e-Ādam to kūch kar jāegā jis tarah kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, lekin us shaḳhs par afsos jis ke wasīle se use dushman ke hawāle kar diyā jāegā. Us ke lie behtar yih hotā ki wuh kabhī paidā hī na hotā.”

Fasah kā Āḳhirī Khānā
22 Khāne ke daurān Īsā ne roṭī le kar shukrguzārī kī duā kī aur use ṭukṛe karke shāgirdoṅ ko de diyā. Us ne kahā, “Yih lo, yih merā badan hai.”

23 Phir us ne mai kā pyālā le kar shukrguzārī kī duā kī aur use unheṅ de diyā. Sab ne us meṅ se pī liyā. 24 Us ne un se kahā, “Yih merā ḳhūn hai, nae ahd kā wuh ḳhūn jo bahutoṅ ke lie bahāyā jātā hai. 25 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki ab se maiṅ angūr kā ras nahīṅ piyūṅgā, kyoṅki aglī dafā ise nae sire se Allāh kī bādshāhī meṅ hī piyūṅgā.”

26 Phir wuh ek zabūr gā kar nikle aur Zaitūn ke pahāṛ ke pās pahuṅche.

Patras ke Inkār kī Peshgoī
27 Īsā ne unheṅ batāyā, “Tum sab bargashtā ho jāoge, kyoṅki kalām-e-muqaddas meṅ Allāh farmātā hai, ‘Maiṅ charwāhe ko mār ḍālūṅgā aur bheṛeṅ titar-bitar ho jāeṅgī.’ 28 Lekin apne jī uṭhne ke bād maiṅ tumhāre āge āge Galīl pahuṅchūṅgā.”

29 Patras ne etarāz kiyā, “Dūsre beshak sab bargashtā ho jāeṅ, lekin meṅ kabhī nahīṅ hūṅgā.”

30 Īsā ne jawāb diyā, “Maiṅ tujhe sach batātā hūṅ, isī rāt murġh ke dūsrī dafā bāṅg dene se pahle pahle tū tīn bār mujhe jānane se inkār kar chukā hogā.”

31 Patras ne isrār kiyā, “Hargiz nahīṅ! Maiṅ āp ko jānane se kabhī inkār nahīṅ karūṅga, chāhe mujhe āp ke sāth marnā bhī paṛe.”

Dūsroṅ ne bhī yihī kuchh kahā.
Gatsamanī Bāġh meṅ Īsā kī Duā
32 Wuh ek bāġh meṅ pahuṅche jis kā nām gatsamanī thā. Īsā ne apne shāgirdoṅ se kahā, “Yahāṅ baiṭh kar merā intazār karo. Maiṅ duā karne ke lie āge jātā hūṅ.” 33 Us ne Patras, Yāqūb aur Yūhannā ko sāth liyā. Wahāṅ wuh ghabrā kar beqarār hone lagā. 34 Us ne un se kahā, “Maiṅ dukh se itnā dabā huā hūṅ ki marne ko hūṅ. Yahāṅ ṭhahar kar jāgte raho.”

35 Kuchh āge jā kar wuh zamīn par gir gayā aur duā karne lagā ki agar mumkin ho to mujhe āne wālī ghaṛiyoṅ kī taklīf se guzarnā na paṛe. 36 Us ne kahā, “Ai abbā, ai Bāp! Tere lie sab kuchh mumkin hai. Dukh kā yih pyālā mujh se haṭā le. Lekin merī nahīṅ balki terī marzī pūrī ho.”

37 Wuh apne shāgirdoṅ ke pās wāpas āyā to dekhā ki wuh so rahe haiṅ. Us ne Patras se kahā, “Shamāūn, kyā tū so rahā hai? Kyā tū ek ghanṭā bhī nahīṅ jāg sakā? 38 Jāgte aur duā karte raho tāki tum āzmāish meṅ na paṛo. Kyoṅki rūh to taiyār hai, lekin jism kamzor.”

39 Ek bār phir us ne jā kar wuhī duā kī jo pahle kī thī. 40 Jab wāpas āyā to dubārā dekhā ki wuh so rahe haiṅ, kyoṅki nīnd kī badaulat un kī āṅkheṅ bojhal thīṅ. Wuh nahīṅ jānte the ki kyā jawāb deṅ.

41 Jab Īsā tīsrī bār wāpas āyā to us ne un se kahā, “Tum abhī tak so aur ārām kar rahe ho? Bas kāfī hai. Waqt ā gayā hai. Dekho, Ibn-e-Ādam ko gunāhgāroṅ ke hawāle kiyā jā rahā hai. 42 Uṭho. Āo, chaleṅ. Dekho, mujhe dushman ke hawāle karne wālā qarīb ā chukā hai.”

Īsā kī Giriftārī
43 Wuh abhī yih bāt kar hī rahā thā ki Yahūdāh pahuṅch gayā, jo bārah shāgirdoṅ meṅ se ek thā. Us ke sāth talwāroṅ aur lāṭhiyoṅ se lais ādmiyoṅ kā hujūm thā. Unheṅ rāhnumā imāmoṅ, sharīat ke ulamā aur buzurgoṅ ne bhejā thā. 44 Is ġhaddār Yahūdāh ne unheṅ ek imtiyāzī nishān diyā thā ki jis ko maiṅ bosā dūṅ wuhī Īsā hai. Use giriftār karke le jāeṅ.

45 Jyoṅ hī wuh pahuṅche Yahūdāh Īsā ke pās gayā aur “Ustād!” Kah kar use bosā diyā. 46 Is par unhoṅ ne use pakaṛ kar giriftār kar liyā. 47 Lekin Īsā ke pās khaṛe ek shaḳhs ne apnī talwār miyān se nikālī aur imām-e-āzam ke ġhulām ko mār kar us kā kān uṛā diyā. 48 Īsā ne un se pūchhā, “Kyā maiṅ ḍākū hūṅ ki tum talwāreṅ aur lāṭhiyāṅ lie mujhe giriftār karne nikle ho? 49 Maiṅ to rozānā Baitul-muqaddas meṅ tumhāre pās thā aur tālīm detā rahā, magar tum ne mujhe giriftār nahīṅ kiyā. Lekin yih is lie ho rahā hai tāki kalām-e-muqaddas kī bāteṅ pūrī ho jāeṅ.”

50 Phir sab ke sab use chhoṛ kar bhāg gae.

51 Lekin ek naujawān Īsā ke pīchhe pīchhe chaltā rahā jo sirf chādar oṛhe hue thā. Logoṅ ne use pakaṛne kī koshish kī, 52 lekin wuh chādar chhoṛ kar nangī hālat meṅ bhāg gayā.

Yahūdī Adālat-e-Āliyā ke Sāmne
53 Wuh Īsā ko imām-e-āzam ke pās le gae jahāṅ tamām rāhnumā imām, buzurg aur sharīat ke ulamā bhī jamā the. 54 Itne meṅ Patras kuchh fāsile par Īsā ke pīchhe pīchhe imām-e-āzam ke sahan tak pahuṅch gayā. Wahāṅ wuh mulāzimoṅ ke sāth baiṭh kar āg tāpne lagā. 55 Makān ke andar rāhnumā imām aur Yahūdī adālat-e-āliyā ke tamām afrād Īsā ke ḳhilāf gawāhiyāṅ ḍhūnḍ rahe the tāki use sazā-e-maut dilwā sakeṅ. Lekin koī gawāhī na milī. 56 Kāfī logoṅ ne us ke ḳhilāf jhūṭī gawāhī to dī, lekin un ke bayān ek dūsre ke mutazād the.

57 Āḳhirkār bāz ne khaṛe ho kar yih jhūṭī gawāhī dī, 58 “Ham ne ise yih kahte sunā hai ki maiṅ insān ke hāthoṅ ke bane is Baitul-muqaddas ko ḍhā kar tīn din ke andar andar nayā maqdis tāmīr kar dūṅgā, ek aisā maqdis jo insān ke hāth nahīṅ banāeṅge.” 59 Lekin un kī gawāhiyāṅ bhī ek dūsrī se mutazād thīṅ.

60 Phir imām-e-āzam ne hāzirīn ke sāmne khaṛe ho kar Īsā se pūchhā, “Kyā tū koī jawāb nahīṅ degā? Yih kyā gawāhiyāṅ haiṅ jo yih log tere ḳhilāf de rahe haiṅ?”

61 Lekin Īsā ḳhāmosh rahā. Us ne koī jawāb na diyā. Imām-e-āzam ne us se ek aur sawāl kiyā, “Kyā tū al-Hamīd kā Farzand Masīh hai?”

62 Īsā ne kahā, “Jī, maiṅ hūṅ. Aur āindā tum Ibn-e-Ādam ko Qādir-e-mutlaq ke dahne hāth baiṭhe aur āsmān ke bādaloṅ par āte hue dekhoge.”

63 Imām-e-āzam ne ranjish kā izhār karke apne kapṛe phāṛ lie aur kahā, “Hameṅ mazīd gawāhoṅ kī kyā zarūrat rahī! 64 Āp ne ḳhud sun liyā hai ki is ne kufr bakā hai. Āp kā kyā faislā hai?”

Sab ne use sazā-e-maut ke lāyq qarār diyā.

65 Phir kuchh us par thūkne lage. Unhoṅ ne us kī āṅkhoṅ par paṭṭī bāndhī aur use mukke mār mār kar kahne lage, “Nabuwwat kar!” Mulāzimoṅ ne bhī use thappaṛ māre.

Patras Īsā ko Jānane se Inkār Kartā Hai
66 Is daurān Patras nīche sahan meṅ thā. Imām-e-āzam kī ek naukarānī wahāṅ se guzarī 67 aur dekhā ki Patras wahāṅ āg tāp rahā hai. Us ne ġhaur se us par nazar kī aur kahā, “Tum bhī Nāsarat ke us ādmī Īsā ke sāth the.”

68 Lekin us ne inkār kiyā, “Maiṅ nahīṅ jāntā yā samajhtā ki tū kyā bāt kar rahī hai.” Yih kah kar wuh geṭ ke qarīb chalā gayā. [Usī lamhe murġh ne bāṅg dī.]

69 Jab naukarānī ne use wahāṅ dekhā to us ne dubārā pās khaṛe logoṅ se kahā, “Yih bandā un meṅ se hai.” 70 Dubārā Patras ne inkār kiyā.

Thoṛī der ke bād Patras ke sāth khaṛe logoṅ ne bhī us se kahā, “Tum zarūr un meṅ se ho kyoṅki tum Galīl ke rahne wāle ho.”

71 Is par Patras ne qasam khā kar kahā, “Mujh par lānat agar maiṅ jhūṭ bol rahā hūṅ. Maiṅ us ādmī ko nahīṅ jāntā jis kā zikr tum kar rahe ho.”

72 Fauran murġh kī bāṅg dūsrī martabā sunāī dī. Phir Patras ko wuh bāt yād āī jo Īsā ne us se kahī thī, “Murġh ke dūsrī dafā bāṅg dene se pahle pahle tū tīn bār mujhe jānane se inkār kar chukā hogā.” Is par wuh ro paṛā.

<- Marqus 13Marqus 15 ->