5 Rab farmātā hai, “Ai nabiyo, tum merī qaum ko bhaṭkā rahe ho. Agar tumheṅ kuchh khilāyā jāe to tum elān karte ho ki amn-o-amān hogā. Lekin jo tumheṅ kuchh na khilāe us par tum jihād kā fatwā dete ho. 6 Chunāṅche tum par aisī rāt chhā jāegī jis meṅ tum royā nahīṅ dekhoge, aisī tārīkī jis meṅ tumheṅ mustaqbil ke bāre meṅ koī bhī bāt nahīṅ milegī. Nabiyoṅ par sūraj ḍūb jāegā, un ke chāroṅ taraf andherā hī andherā chhā jāegā. 7 Tab royā deḳhne wāle sharmsār aur qismat kā hāl batāne wāle sharmindā ho jāeṅge. Sharm ke māre wuh apne muṅh ko chhupā leṅge, [a] kyoṅki Allāh se koī bhī jawāb nahīṅ milegā.”
8 Lekin maiṅ ḳhud quwwat se, Rab ke Rūh se aur insāf aur tāqat se bharā huā hūṅ tāki Yāqūb kī aulād ko us ke jarāym aur Isrāīl ko us ke gunāh sunā sakūṅ.
9 Ai Yāqūb ke rāhnumāo, ai Isrāīl ke buzurgo, suno! Tum insāf se ghin khā kar har sīdhī bāt ko ṭeṛhī banā lete ho. 10 Tum Siyyūn ko ḳhūṅrezī se aur Yarūshalam ko nāinsāfī se tāmīr kar rahe ho. 11 Yarūshalam ke buzurg adālat karte waqt rishwat lete haiṅ. Us ke imām tālīm dete haiṅ lekin sirf kuchh milne ke lie. Us ke nabī peshgoī sunā dete haiṅ lekin sirf paisoṅ ke muāwaze meṅ. Tāham yih log Rab par inhisār karke kahte haiṅ, “Ham par āfat ā hī nahīṅ saktī, kyoṅki Rab hamāre darmiyān hai.”
12 Tumhārī wajah se Siyyūn par hal chalāyā jāegā aur Yarūshalam malbe kā ḍher ban jāegā. Jis pahāṛ par Rab kā ghar hai us par jangal chhā jāegā.
<- Mīkāh 2Mīkāh 4 ->- a Muṅh kā Lafzī tarjumā ‘mūṅchheṅ’ hai.