2 Chunāṅche ḳhairāt dete waqt riyākāroṅ kī tarah na kar jo ibādatḳhānoṅ aur galiyoṅ meṅ bigul bajā kar is kā elān karte haiṅ tāki log un kī izzat kareṅ. Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, jitnā ajr unheṅ milnā thā unheṅ mil chukā hai. 3 Is ke bajāe jab tū ḳhairāt de to tere dāeṅ hāth ko patā na chale ki bāyāṅ hāth kyā kar rahā hai. 4 Terī ḳhairāt yoṅ poshīdagī meṅ dī jāe to terā Bāp jo poshīdā bāteṅ deḳhtā hai tujhe is kā muāwazā degā.
7 Duā karte waqt Ġhairyahūdiyoṅ kī tarah tawīl aur bemānī bāteṅ na dohrāte raho. Wuh samajhte haiṅ ki hamārī bahut-sī bātoṅ ke sabab se hamārī sunī jāegī. 8 Un kī mānind na bano, kyoṅki tumhārā Bāp pahle se tumhārī zarūriyāt se wāqif hai, 9 balki yoṅ duā kiyā karo,
10 Terī bādshāhī āe.
11 Hamārī roz kī roṭī āj hameṅ de.
12 Hamāre gunāhoṅ ko muāf kar
13 Aur hameṅ āzmāish meṅ na paṛne de
14 Kyoṅki jab tum logoṅ ke gunāh muāf karoge to tumhārā āsmānī Bāp bhī tum ko muāf karegā. 15 Lekin agar tum unheṅ muāf na karo to tumhārā Bāp bhī tumhāre gunāh muāf nahīṅ karegā.
25 Is lie maiṅ tumheṅ batātā hūṅ, apnī zindagī kī zarūriyāt pūrī karne ke lie pareshān na raho ki hāy, maiṅ kyā khāūṅ aur kyā piyūṅ. Aur jism ke lie fikrmand na raho ki hāy, maiṅ kyā pahnūṅ. Kyā zindagī khāne-pīne se aham nahīṅ hai? Aur kyā jism poshāk se zyādā ahmiyat nahīṅ rakhtā? 26 Parindoṅ par ġhaur karo. Na wuh bīj bote, na fasleṅ kāṭ kar unheṅ godām meṅ jamā karte haiṅ. Tumhārā āsmānī Bāp ḳhud unheṅ khānā khilātā hai. Kyā tumhārī un kī nisbat zyādā qadar-o-qīmat nahīṅ hai? 27 Kyā tum meṅ se koī fikr karte karte apnī zindagī meṅ ek lamhe kā bhī izāfā kar saktā hai?
28 Aur tum apne kapṛoṅ ke lie kyoṅ fikrmand hote ho? Ġhaur karo ki sosan ke phūl kis tarah ugte haiṅ. Na wuh mehnat karte, na kātte haiṅ. 29 Lekin maiṅ tumheṅ batātā hūṅ ki Sulemān Bādshāh apnī pūrī shān-o-shaukat ke bāwujūd aise shāndār kapṛoṅ se mulabbas nahīṅ thā jaise un meṅ se ek. 30 Agar Allāh us ghās ko jo āj maidān meṅ hai aur kal āg meṅ jhoṅkī jāegī aisā shāndār libās pahnātā hai to ai kam-etaqādo, wuh tum ko pahnāne ke lie kyā kuchh nahīṅ karegā?
31 Chunāṅche pareshānī ke ālam meṅ fikr karte karte yih na kahte raho, ‘Ham kyā khāeṅ? Ham kyā pieṅ? Ham kyā pahneṅ?’ 32 Kyoṅki jo īmān nahīṅ rakhte wuhī in tamām chīzoṅ ke pīchhe bhāgte rahte haiṅ jabki tumhāre āsmānī Bāp ko pahle se mālūm hai ki tum ko in tamām chīzoṅ kī zarūrat hai. 33 Pahle Allāh kī bādshāhī aur us kī rāstbāzī kī talāsh meṅ raho. Phir yih tamām chīzeṅ bhī tum ko mil jāeṅgī. 34 Is lie kal ke bāre meṅ fikr karte karte pareshān na ho kyoṅki kal kā din apne lie āp fikr kar legā. Har din kī apnī musībateṅ kāfī haiṅ.
<- Mattī 5Mattī 7 ->- a Lafzī tarjumā: Hamāre qarz hameṅ muāf kar jis tarah ham ne apne qarzdāroṅ ko muāf kiyā.