6 Rāhnumā imāmoṅ ne sikkoṅ ko jamā karke kahā, “Sharīat yih paise Baitul-muqaddas ke ḳhazāne meṅ ḍālne kī ijāzat nahīṅ detī, kyoṅki yih ḳhūṅrezī kā muāwazā hai.” 7 Āpas meṅ mashwarā karne ke bād unhoṅ ne kumhār kā khet ḳharīdne kā faislā kiyā tāki pardesiyoṅ ko dafnāne ke lie jagah ho. 8 Is lie yih khet āj tak Ḳhūn kā Khet kahlātā hai.
9 Yoṅ Yarmiyāh Nabī kī yih peshgoī pūrī huī ki “Unhoṅ ne chāṅdī ke 30 sikke lie yānī wuh raqam jo Isrāīliyoṅ ne us ke lie lagāī thī. 10 In se unhoṅ ne kumhār kā khet ḳharīd liyā, bilkul aisā jis tarah Rab ne mujhe hukm diyā thā.”
13 Chunāṅche Pīlātus ne dubārā us se sawāl kiyā, “Kyā tum yih tamām ilzāmāt nahīṅ sun rahe jo tum par lagāe jā rahe haiṅ?”
14 Lekin Īsā ne ek ilzām kā bhī jawāb na diyā, is lie gawarnar nihāyat hairān huā.
19 Jab Pīlātus yoṅ adālat ke taḳht par baiṭhā thā to us kī bīwī ne use paiġhām bhejā, “Is bequsūr ādmī ko hāth na lagāeṅ, kyoṅki mujhe pichhlī rāt is ke bāis ḳhāb meṅ shadīd taklīf huī.”
20 Lekin rāhnumā imāmoṅ aur qaum ke buzurgoṅ ne hujūm ko uksāyā ki wuh Bar-abbā ko māṅgeṅ aur Īsā kī maut talab kareṅ. Gawarnar ne dubārā pūchhā, 21 “Maiṅ in donoṅ meṅ se kis ko tumhāre lie āzād karūṅ?”
22 Pīlātus ne pūchhā, “Phir maiṅ Īsā ke sāth kyā karūṅ jo Masīh kahlātā hai?”
23 Pīlātus ne pūchhā, “Kyoṅ? Us ne kyā jurm kiyā hai?”
24 Pīlātus ne dekhā ki wuh kisī natīje tak nahīṅ pahuṅch rahā balki hangāmā barpā ho rahā hai. Is lie us ne pānī le kar hujūm ke sāmne apne hāth dhoe. Us ne kahā, “Agar is ādmī ko qatl kiyā jāe to maiṅ bequsūr hūṅ, tum hī us ke lie jawābdeh ṭhahro.”
25 Tamām logoṅ ne jawāb diyā, “Ham aur hamārī aulād us ke ḳhūn ke jawābdeh haiṅ.”
26 Phir us ne Bar-abbā ko āzād karke unheṅ de diyā. Lekin Īsā ko us ne koṛe lagāne kā hukm diyā, phir use maslūb karne ke lie faujiyoṅ ke hawāle kar diyā.
35 Phir faujiyoṅ ne use maslūb kiyā aur us ke kapṛe āpas meṅ bāṅṭ lie. Yih faislā karne ke lie ki kis ko kyā kyā mile unhoṅ ne qurā ḍālā. 36 Yoṅ wuh wahāṅ baiṭh kar us kī pahrādārī karte rahe. 37 Salīb par Īsā ke sar ke ūpar ek taḳhtī lagā dī gaī jis par yih ilzām likhā thā, “Yih Yahūdiyoṅ kā Bādshāh Īsā hai.” 38 Do ḍākuoṅ ko bhī Īsā ke sāth maslūb kiyā gayā, ek ko us ke dahne hāth aur dūsre ko us ke bāeṅ hāth.
39 Jo wahāṅ se guzare unhoṅ ne kufr bak kar us kī tazlīl kī aur sar hilā hilā kar apnī hiqārat kā izhār kiyā. 40 Unhoṅ ne kahā, “Tū ne to kahā thā ki maiṅ Baitul-muqaddas ko ḍhā kar use tīn din ke andar andar dubārā tāmīr kar dūṅgā. Ab apne āp ko bachā! Agar tū wāqaī Allāh kā Farzand hai to salīb par se utar ā.”
41 Rāhnumā imāmoṅ, sharīat ke ulamā aur qaum ke buzurgoṅ ne bhī Īsā kā mazāq uṛāyā, 42 “Is ne auroṅ ko bachāyā, lekin apne āp ko nahīṅ bachā saktā. Yih Isrāīl kā Bādshāh hai! Abhī yih salīb par se utar āe to ham is par īmān le āeṅge. 43 Is ne Allāh par bharosā rakhā hai. Ab Allāh ise bachāe agar wuh ise chāhtā hai, kyoṅki is ne kahā, ‘Maiṅ Allāh kā Farzand hūṅ.’ ”
44 Aur jin ḍākuoṅ ko us ke sāth maslūb kiyā gayā thā unhoṅ ne bhī use lān-tān kī.
47 Yih sun kar pās khaṛe kuchh log kahne lage, “Wuh Iliyās Nabī ko bulā rahā hai.” 48 Un meṅ se ek ne fauran dauṛ kar ek isfanj ko mai ke sirke meṅ ḍuboyā aur use ḍanḍe par lagā kar Īsā ko chusāne kī koshish kī.
49 Dūsroṅ ne kahā, “Āo, ham dekheṅ, shāyad Iliyās ā kar use bachāe.”
50 Lekin Īsā ne dubārā baṛe zor se chillā kar dam chhoṛ diyā.
51 Usī waqt Baitul-muqaddas ke Muqaddastarīn Kamre ke sāmne laṭkā huā pardā ūpar se le kar nīche tak do hissoṅ meṅ phaṭ gayā. Zalzalā āyā, chaṭṭāneṅ phaṭ gaīṅ 52 aur qabreṅ khul gaīṅ. Kaī marhūm muqaddasīn ke jismoṅ ko zindā kar diyā gayā. 53 Wuh Īsā ke jī uṭhne ke bād qabroṅ meṅ se nikal kar muqaddas shahr meṅ dāḳhil hue aur bahutoṅ ko nazar āe.
54 Jab pās khaṛe Romī afsar [a] aur Īsā kī pahrādārī karne wāle faujiyoṅ ne zalzalā aur yih tamām wāqiyāt dekhe to wuh nihāyat dahshatzadā ho gae. Unhoṅ ne kahā, “Yih wāqaī Allāh kā Farzand thā.”
55 Bahut-sī ḳhawātīn bhī wahāṅ thīṅ jo kuchh fāsile par is kā mushāhadā kar rahī thīṅ. Wuh Galīl meṅ Īsā ke pīchhe chal kar yahāṅ tak us kī ḳhidmat kartī āī thīṅ. 56 Un meṅ Mariyam Magdalīnī, Yāqūb aur Yūsuf kī māṅ Mariyam aur Zabdī ke beṭoṅ Yāqūb aur Yūhannā kī māṅ bhī thīṅ.
65 Pīlātus ne jawāb diyā, “Pahredāroṅ ko le kar qabr ko itnā mahfūz kar do jitnā tum kar sakte ho.”
66 Chunāṅche unhoṅ ne jā kar qabr ko mahfūz kar liyā. Qabr ke muṅh par paṛe patthar par muhr lagā kar unhoṅ ne us par pahredār muqarrar kar die.
<- Mattī 26Mattī 28 ->- a Sau sipāhiyoṅ par muqarrar afsar.