14 [Sharīat ke ālimo aur Farīsiyo, tum par afsos! Riyākāro! Tum bewāoṅ ke gharoṅ par qabzā kar lete aur dikhāwe ke lie lambī lambī namāz paṛhte ho. Is lie tumheṅ zyādā sazā milegī.]
15 Sharīat ke ālimo aur Farīsiyo, tum par afsos! Riyākāro! Tum ek naumurīd banāne kī ḳhātir ḳhushkī aur tarī ke lambe safr karte ho. Aur jab is meṅ kāmyāb ho jāte ho to tum us shaḳhs ko apnī nisbat jahannum kā dugnā sharīr farzand banā dete ho. 16 Andhe rāhnumāo, tum par afsos! Tum kahte ho, ‘Agar koī Baitul-muqaddas kī qasam khāe to zarūrī nahīṅ ki wuh use pūrā kare. Lekin agar wuh Baitul-muqaddas ke sone kī qasam khāe to lāzim hai ki use pūrā kare.’ 17 Andhe ahmaqo! Zyādā aham kiyā hai, sonā yā Baitul-muqaddas jo sone ko maḳhsūs-o-muqaddas banātā hai? 18 Tum yih bhī kahte ho, ‘Agar koī qurbāngāh kī qasam khāe to zarūrī nahīṅ ki wuh use pūrā kare. Lekin agar wuh qurbāngāh par paṛe hadiye kī qasam khāe to lāzim hai ki wuh use pūrā kare.’ 19 Andho! Zyādā aham kiyā hai, hadiyā yā qurbāngāh jo hadiye ko maḳhsūs-o-muqaddas banātī hai? 20 Ġharz, jo qurbāngāh kī qasam khātā hai wuh un tamām chīzoṅ kī qasam bhī khātā hai jo us par paṛī haiṅ. 21 Aur jo Baitul-muqaddas kī qasam khātā hai wuh us kī bhī qasam khātā hai jo us meṅ sukūnat kartā hai. 22 Aur jo āsmān kī qasam khātā hai wuh Allāh ke taḳht kī aur us par baiṭhne wāle kī qasam bhī khātā hai.
23 Sharīat ke ālimo aur Farīsiyo, tum par afsos! Riyākāro! Go tum baṛī ehtiyāt se paudīne, ajwāyn aur zīre kā daswāṅ hissā hadiye ke lie maḳhsūs karte ho, lekin tum ne sharīat kī zyādā aham bātoṅ ko nazarandāz kar diyā hai yānī insāf, rahm aur wafādārī ko. Lāzim hai ki tum yih kām bhī karo aur pahlā bhī na chhoṛo. 24 Andhe rāhnumāo! Tum apne mashrūb chhānte ho tāki ġhaltī se machchhar na pī liyā jāe, lekin sāth sāth ūṅṭ ko nigal lete ho.
25 Sharīat ke ālimo aur Farīsiyo, tum par afsos! Riyākāro! Tum bāhar se har pyāle aur bartan kī safāī karte ho, lekin andar se wuh lūṭ-mār aur aishparastī se bhare hote haiṅ. 26 Andhe Farīsiyo, pahle andar se pyāle aur bartan kī safāī karo, aur phir wuh bāhar se bhī pāk-sāf ho jāeṅge.
27 Sharīat ke ālimo aur Farīsiyo, tum par afsos! Riyākāro! Tum aisī qabroṅ se mutābiqat rakhte ho jin par safedī kī gaī ho. Go wuh bāhar se dilkash nazar ātī haiṅ, lekin andar se wuh murdoṅ kī haḍḍiyoṅ aur har qism kī nāpākī se bharī hotī haiṅ. 28 Tum bhī bāhar se rāstbāz dikhāī dete ho jabki andar se tum riyākārī aur bedīnī se māmūr hote ho.
29 Sharīat ke ālimo aur Farīsiyo, tum par afsos! Riyākāro! Tum nabiyoṅ ke lie qabreṅ tāmīr karte aur rāstbāzoṅ ke mazār sajāte ho. 30 Aur tum kahte ho, ‘Agar ham apne bāpdādā ke zamāne meṅ zindā hote to nabiyoṅ ko qatl karne meṅ sharīk na hote.’ 31 Lekin yih kahne se tum apne ḳhilāf gawāhī dete ho ki tum nabiyoṅ ke qātiloṅ kī aulād ho. 32 Ab jāo, wuh kām mukammal karo jo tumhāre bāpdādā ne adhūrā chhoṛ diyā thā. 33 Sāṅpo, zahrīle sāṅpoṅ ke bachcho! Tum kis tarah jahannum kī sazā se bach pāoge? 34 Is lie maiṅ nabiyoṅ, dānishmandoṅ aur sharīat ke ālimoṅ ko tumhāre pās bhej detā hūṅ. Un meṅ se bāz ko tum qatl aur maslūb karoge aur bāz ko apne ibādatḳhānoṅ meṅ le jā kar koṛe lagwāoge aur shahr bashahr un kā tāqqub karoge. 35 Natīje meṅ tum tamām rāstbāzoṅ ke qatl ke zimmedār ṭhahroge—rāstbāz Hābīl ke qatl se le kar Zakariyāh bin Barakiyāh ke qatl tak jise tum ne Baitul-muqaddas ke darwāze aur us ke sahan meṅ maujūd qurbāngāh ke darmiyān mār ḍālā. 36 Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ ki yih sab kuchh isī nasl par āegā.
- a Tāwīzoṅ meṅ Tauret ke hawālājāt likh kar rakhe jāte the.