7 Shāgird āpas meṅ bahs karne lage, “Wuh is lie kah rahe hoṅge ki ham khānā sāth nahīṅ lāe.”
8 Īsā ko mālūm huā ki wuh kyā soch rahe haiṅ. Us ne kahā, “Tum āpas meṅ kyoṅ bahs kar rahe ho ki hamāre pās roṭī nahīṅ hai? 9 Kyā tum abhī tak nahīṅ samajhte? Kyā tumheṅ yād nahīṅ ki maiṅ ne pāṅch roṭiyāṅ le kar 5,000 ādmiyoṅ ko khānā khilā diyā aur ki tum ne bache hue ṭukṛoṅ ke kitne ṭokre uṭhāe the? 10 Yā kyā tum bhūl gae ho ki maiṅ ne sāt roṭiyāṅ le kar 4,000 ādmiyoṅ ko khānā khilāyā aur ki tum ne bache hue ṭukṛoṅ ke kitne ṭokre uṭhāe the? 11 Tum kyoṅ nahīṅ samajhte ki maiṅ tum se khāne kī bāt nahīṅ kar rahā? Suno merī bāt! Farīsiyoṅ aur Sadūqiyoṅ ke ḳhamīr se hoshyār raho!”
12 Phir unheṅ samajh āī ki Īsā unheṅ roṭī ke ḳhamīr se āgāh nahīṅ kar rahā thā balki Farīsiyoṅ aur Sadūqiyoṅ kī tālīm se.
14 Unhoṅ ne jawāb diyā, “Kuchh kahte haiṅ Yahyā baptismā dene wālā, kuchh yih ki āp Iliyās Nabī haiṅ. Kuchh yih bhī kahte haiṅ ki Yarmiyāh yā nabiyoṅ meṅ se ek.”
15 Us ne pūchhā, “Lekin tumhāre nazdīk maiṅ kaun hūṅ?”
16 Patras ne jawāb diyā, “Āp zindā Ḳhudā ke Farzand Masīh haiṅ.”
17 Īsā ne kahā, “Shamāūn bin Yūnus, tū mubārak hai, kyoṅki kisī insān ne tujh par yih zāhir nahīṅ kiyā balki mere āsmānī Bāp ne. 18 Maiṅ tujhe yih bhī batātā hūṅ ki tū Patras yānī Patthar hai, aur isī patthar par maiṅ apnī jamāt ko tāmīr karūṅga, aisī jamāt jis par Pātāl ke darwāze bhī ġhālib nahīṅ āeṅge. 19 Maiṅ tujhe āsmān kī bādshāhī kī kunjiyāṅ de dūṅgā. Jo kuchh tū zamīn par bāndhegā wuh āsmān par bhī bandhegā. Aur jo kuchh tū zamīn par kholegā wuh āsmān par bhī khulegā.”
20 Phir Īsā ne apne shāgirdoṅ ko hukm diyā, “Kisī ko bhī na batāo ki maiṅ Masīh hūṅ.”
22 Is par Patras use ek taraf le jā kar samjhāne lagā. “Ai Ḳhudāwand, Allāh na kare ki yih kabhī bhī āp ke sāth ho.”
23 Īsā ne muṛ kar Patras se kahā, “Shaitān, mere sāmne se haṭ jā! Tū mere lie ṭhokar kā bāis hai, kyoṅki tū Allāh kī soch nahīṅ rakhtā balki insān kī.”
24 Phir Īsā ne apne shāgirdoṅ se kahā, “Jo mere pīchhe ānā chāhe wuh apne āp kā inkār kare aur apnī salīb uṭhā kar mere pīchhe ho le. 25 Kyoṅki jo apnī jān ko bachāe rakhnā chāhe wuh use kho degā. Lekin jo merī ḳhātir apnī jān kho de wuhī use pā legā. 26 Kyā fāydā hai agar kisī ko pūrī duniyā hāsil ho jāe, lekin wuh apnī jān se mahrūm ho jāe? Insān apnī jān ke badle kyā de saktā hai? 27 Kyoṅki Ibn-e-Ādam apne Bāp ke jalāl meṅ apne farishtoṅ ke sāth āegā, aur us waqt wuh har ek ko us ke kām kā badlā degā. 28 Maiṅ tumheṅ sach batātā hūṅ, yahāṅ kuchh aise log khaṛe haiṅ jo marne se pahle hī Ibn-e-Ādam ko us kī bādshāhī meṅ āte hue dekheṅge.”
<- Mattī 15Mattī 17 ->