3 Īsā ne jawāb diyā, “Kyā tum ne nahīṅ paṛhā ki Dāūd ne kyā kiyā jab use aur us ke sāthiyoṅ ko bhūk lagī? 4 Wuh Allāh ke ghar meṅ dāḳhil huā aur apne sāthiyoṅ samet Rab ke lie maḳhsūsshudā roṭiyāṅ khāīṅ, agarche unheṅ is kī ijāzat nahīṅ thī balki sirf imāmoṅ ko? 5 Yā kyā tum ne Tauret meṅ nahīṅ paṛhā ki go imām Sabat ke din Baitul-muqaddas meṅ ḳhidmat karte hue ārām karne kā hukm toṛte haiṅ to bhī wuh be'ilzām ṭhaharte haiṅ? 6 Maiṅ tumheṅ batātā hūṅ ki yahāṅ wuh hai jo Baitul-muqaddas se afzal hai. 7 Kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘Maiṅ qurbānī nahīṅ balki rahm pasand kartā hūṅ.’ Agar tum is kā matlab samajhte to bequsūroṅ ko mujrim na ṭhahrāte. 8 Kyoṅki Ibn-e-Ādam Sabat kā mālik hai.”
11 Īsā ne jawāb diyā, “Agar tum meṅ se kisī kī bheṛ Sabat ke din gaṛhe meṅ gir jāe to kyā use nahīṅ nikāloge? 12 Aur bheṛ kī nisbat insān kī kitnī zyādā qadar-o-qīmat hai! Ġharz sharīat nek kām karne kī ijāzat detī hai.” 13 Phir us ne us ādmī se jis kā hāth sūkhā huā thā kahā, “Apnā hāth āge baṛhā.”
18 ‘Dekho, merā ḳhādim jise maiṅ ne chun liyā hai,
19 Wuh na to jhagaṛegā, na chillāegā.
20 Na wuh kuchle hue sarkanḍe ko toṛegā,
21 Usī ke nām se qaumeṅ ummīd rakheṅgī.’
24 Lekin jab Farīsiyoṅ ne yih sunā to unhoṅ ne kahā, “Yih sirf badrūhoṅ ke sardār Bāl-zabūl kī mārifat badrūhoṅ ko nikāltā hai.”
25 Un ke yih ḳhayālāt jān kar Īsā ne un se kahā, “Jis bādshāhī meṅ phūṭ paṛ jāe wuh tabāh ho jāegī. Aur jis shahr yā gharāne kī aisī hālat ho wuh bhī qāym nahīṅ rah saktā. 26 Isī tarah agar Iblīs apne āp ko nikāle to phir us meṅ phūṭ paṛ gaī hai. Is sūrat meṅ us kī bādshāhī kis tarah qāym rah saktī hai? 27 Aur agar maiṅ badrūhoṅ ko Bāl-zabūl kī madad se nikāltā hūṅ to tumhāre beṭe unheṅ kis ke zariye nikālte haiṅ? Chunāṅche wuhī is bāt meṅ tumhāre munsif hoṅge. 28 Lekin agar maiṅ Allāh ke Rūh kī mārifat badrūhoṅ ko nikāl detā hūṅ to phir Allāh kī bādshāhī tumhāre pās pahuṅch chukī hai.
29 Kisī zorāwar ādmī ke ghar meṅ ghus kar us kā māl-o-asbāb lūṭnā kis tarah mumkin hai jab tak ki use bāndhā na jāe? Phir hī use lūṭā jā saktā hai.
30 Jo mere sāth nahīṅ wuh mere ḳhilāf hai aur jo mere sāth jamā nahīṅ kartā wuh bikhertā hai. 31 Ġharz maiṅ tum ko batātā hūṅ ki insān kā har gunāh aur kufr muāf kiyā jā sakegā siwāe Rūhul-quds ke ḳhilāf kufr bakne ke. Ise muāf nahīṅ kiyā jāegā. 32 Jo Ibn-e-Ādam ke ḳhilāf bāt kare use muāf kiyā jā sakegā, lekin jo Rūhul-quds ke ḳhilāf bāt kare use na is jahān meṅ aur na āne wāle jahān meṅ muāf kiyā jāegā.
36 Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki qiyāmat ke din logoṅ ko beparwāī se kī gaī har bāt kā hisāb denā paṛegā. 37 Tumhārī apnī bātoṅ kī binā par tum ko rāst yā nārāst ṭhahrāyā jāegā.”
39 Us ne jawāb diyā, “Sirf sharīr aur zinākār nasl ilāhī nishān kā taqāzā kartī hai. Lekin use koī bhī ilāhī nishān pesh nahīṅ kiyā jāegā siwāe Yūnus nabī ke nishān ke. 40 Kyoṅki jis tarah Yūnus tīn din aur tīn rāt machhlī ke peṭ meṅ rahā usī tarah Ibn-e-Ādam bhī tīn din aur tīn rāt zamīn kī god meṅ paṛā rahegā. 41 Qiyāmat ke din Nīnwā ke bāshinde is nasl ke sāth khaṛe ho kar ise mujrim ṭhahrāeṅge. Kyoṅki Yūnus ke elān par unhoṅ ne taubā kī thī jabki yahāṅ wuh hai jo Yūnus se bhī baṛā hai. 42 Us din junūbī mulk Sabā kī malikā bhī is nasl ke sāth khaṛī ho kar ise mujrim qarār degī. Kyoṅki wuh dūr-darāz mulk se Sulemān kī hikmat sunane ke lie āī thī jabki yahāṅ wuh hai jo Sulemān se bhī baṛā hai.
48 Īsā ne pūchhā, “Kaun hai merī māṅ aur kaun haiṅ mere bhāī?” 49 Phir apne hāth se shāgirdoṅ kī taraf ishārā karke us ne kahā, “Dekho, yih merī māṅ aur mere bhāī haiṅ. 50 Kyoṅki jo bhī mere āsmānī Bāp kī marzī pūrī kartā hai wuh merā bhāī, merī bahan aur merī māṅ hai.”
<- Mattī 11Mattī 13 ->