Mattī
2 Ibrāhīm Is'hāq kā bāp thā, Is'hāq Yāqūb kā bāp aur Yāqūb Yahūdāh aur us ke bhāiyoṅ kā bāp. 3 Yahūdāh ke do beṭe Fāras aur Zārah the. (Un kī māṅ Tamr thī.) Fāras Hasron kā bāp aur Hasron Rām kā bāp thā. 4 Rām Ammīnadāb kā bāp, Ammīnadāb Nahson kā bāp aur Nahson Salmon kā bāp thā. 5 Salmon Boaz kā bāp thā. (Boaz kī māṅ Rāhab thī.) Boaz Obed kā bāp thā. (Obed kī māṅ Rūt thī.) Obed Yassī kā bāp aur 6 Yassī Dāūd Bādshāh kā bāp thā.
12 Bābal kī jilāwatanī ke bād Yahūyākīn †Yūnānī meṅ Yahūyākīn kā mutarādif Yakūniyāh mustāmal hai. Siyāltiyel kā bāp aur Siyāltiyel Zarubbābal kā bāp thā. 13 Zarubbābal Abīhūd kā bāp, Abīhūd Iliyāqīm kā bāp aur Iliyāqīm Āzor kā bāp thā. 14 Āzor Sadoq kā bāp, Sadoq Aḳhīm kā bāp aur Aḳhīm Ilīhūd kā bāp thā. 15 Ilīhūd Iliyazar kā bāp, Ilīazar Mattān kā bāp aur Mattān Yāqūb kā bāp thā. 16 Yāqūb Mariyam ke shauhar Yūsuf kā bāp thā. Is Mariyam se Īsā paidā huā, jo Masīh kahlātā hai.
17 Yoṅ Ibrāhīm se Dāūd tak 14 nasleṅ haiṅ, Dāūd se Bābal kī jilāwatanī tak 14 nasleṅ haiṅ aur jilāwatanī se Masīh tak 14 nasleṅ haiṅ
22 Yih sab kuchh is lie huā tāki Rab kī wuh bāt pūrī ho jāe jo us ne apne nabī kī mārifat farmāī thī, 23 “Dekho ek kuṅwārī hāmilā hogī. Us se beṭā paidā hogā aur wuh us kā nām Immānuel rakheṅge.” (Immānuel kā matlab ‘Ḳhudā Hamāre Sāth’ hai).
24 Jab Yūsuf jāg uṭhā to us ne Rab ke farishte ke farmān ke mutābiq Mariyam se shādī kar lī aur use apne ghar le gayā. 25 Lekin jab tak us ke beṭā paidā na huā wuh Mariyam se hambistar na huā. Aur Yūsuf ne bachche kā nām Īsā rakhā.
Mattī 2 ->