6 Chunāṅche Īsā un ke sāth chal paṛā. Lekin jab wuh ghar ke qarīb pahuṅch gayā to afsar ne apne kuchh dost yih kah kar us ke pās bhej die ki “Ḳhudāwand, mere ghar meṅ āne kī taklīf na kareṅ, kyoṅki maiṅ is lāyq nahīṅ hūṅ. 7 Is lie maiṅ ne ḳhud ko āp ke pās āne ke lāyq bhī na samjhā. Bas wahīṅ se kah deṅ to merā ġhulām shafā pā jāegā. 8 Kyoṅki mujhe ḳhud ālā afsaroṅ ke hukm par chalnā paṛtā hai aur mere mātaht bhī faujī haiṅ. Ek ko kahtā hūṅ, ‘Jā!’ To wuh jātā hai aur dūsre ko ‘Ā!’ To wuh ātā hai. Isī tarah maiṅ apne naukar ko hukm detā hūṅ, ‘Yih kar!’ To wuh kartā hai.”
9 Yih sun kar Īsā nihāyat hairān huā. Us ne muṛ kar apne pīchhe āne wāle hujūm se kahā, “Maiṅ tum ko sach batātā hūṅ, maiṅ ne Isrāīl meṅ bhī is qism kā īmān nahīṅ pāyā.”
10 Jab afsar kā paiġhām pahuṅchāne wāle ghar wāpas āe to unhoṅ ne dekhā ki ġhulām kī sehhat bahāl ho chukī hai.
16 Yih dekh kar tamām logoṅ par ḳhauf tārī ho gayā aur wuh Allāh kī tamjīd karke kahne lage, “Hamāre darmiyān ek baṛā nabī barpā huā hai. Allāh ne apnī qaum par nazar kī hai.”
17 Aur Īsā ke bāre meṅ yih ḳhabar pūre Yahūdiyā aur irdgird ke ilāqe meṅ phail gaī.
20 Chunāṅche yih shāgird Īsā ke pās pahuṅch kar kahne lage, “Yahyā baptismā dene wāle ne hameṅ yih pūchhne ke lie bhejā hai ki kyā āp wuhī haiṅ jise ānā hai yā ham kisī aur kā intazār kareṅ?”
21 Īsā ne usī waqt bahut-se logoṅ ko shafā dī thī jo muḳhtalif qism kī bīmāriyoṅ, musībatoṅ aur badrūhoṅ kī girift meṅ the. Andhoṅ kī āṅkheṅ bhī bahāl ho gaī thīṅ. 22 Is lie us ne jawāb meṅ Yahyā ke qāsidoṅ se kahā, “Yahyā ke pās wāpas jā kar use sab kuchh batā denā jo tum ne dekhā aur sunā hai. ‘Andhe deḳhte, langaṛe chalte phirte haiṅ, koṛhiyoṅ ko pāk-sāf kiyā jātā hai, bahre sunte haiṅ, murdoṅ ko zindā kiyā jātā hai aur ġharīboṅ ko Allāh kī ḳhushḳhabrī sunāī jātī hai.’ 23 Yahyā ko batāo, ‘Mubārak hai wuh jo mere sabab se ṭhokar khā kar bargashtā nahīṅ hotā.’ ”
24 Yahyā ke yih qāsid chale gae to Īsā hujūm se Yahyā ke bāre meṅ bāt karne lagā, “Tum registān meṅ kyā deḳhne gae the? Ek sarkanḍā jo hawā ke har jhoṅke se hiltā hai? Beshak nahīṅ. 25 Yā kyā wahāṅ jā kar aise ādmī kī tawaqqo kar rahe the jo nafīs aur mulāym libās pahne hue hai? Nahīṅ, jo shāndār kapṛe pahante aur aish-o-ishrat meṅ zindagī guzārte haiṅ wuh shāhī mahaloṅ meṅ pāe jāte haiṅ. 26 To phir tum kyā deḳhne gae the? Ek nabī ko? Bilkul sahīh, balki maiṅ tum ko batātā hūṅ ki wuh nabī se bhī baṛā hai. 27 Usī ke bāre meṅ kalām-e-muqaddas meṅ likhā hai, ‘Dekh maiṅ apne paiġhambar ko tere āge āge bhej detā hūṅ jo tere sāmne rāstā taiyār karegā.’ 28 Maiṅ tum ko batātā hūṅ ki is duniyā meṅ paidā hone wālā koī bhī shaḳhs Yahyā se baṛā nahīṅ hai. To bhī Allāh kī bādshāhī meṅ dāḳhil hone wālā sab se chhoṭā shaḳhs us se baṛā hai.”
29 Bāt yih thī ki tamām qaum bashamūl ṭaiks lene wāloṅ ne Yahyā kā paiġhām sun kar Allāh kā insāf mān liyā aur Yahyā se baptismā liyā thā. 30 Sirf Farīsī aur sharīat ke ulamā ne apne bāre meṅ Allāh kī marzī ko radd karke Yahyā kā baptismā lene se inkār kiyā thā.
31 Īsā ne bāt jārī rakhī, “Chunāṅche maiṅ is nasl ke logoṅ ko kis se tashbīh dūṅ? Wuh kis se mutābiqat rakhte haiṅ? 32 Wuh un bachchoṅ kī mānind haiṅ jo bāzār meṅ baiṭhe khel rahe haiṅ. Un meṅ se kuchh ūṅchī āwāz se dūsre bachchoṅ se shikāyat kar rahe haiṅ, ‘Ham ne bāṅsrī bajāī to tum na nāche. Phir ham ne nohā ke gīt gāe, lekin tum na roe.’ 33 Dekho, Yahyā baptismā dene wālā āyā aur na roṭī khāī, na mai pī. Yih dekh kar tum kahte ho ki us meṅ badrūh hai. 34 Phir Ibn-e-Ādam khātā aur pītā huā āyā. Ab tum kahte ho, ‘Dekho yih kaisā peṭū aur sharābī hai. Aur wuh ṭaiks lene wāloṅ aur gunāhgāroṅ kā dost bhī hai.’ 35 Lekin hikmat apne tamām bachchoṅ se hī sahīh sābit huī hai.”
40 Īsā ne in ḳhayālāt ke jawāb meṅ us se kahā, “Shamāūn, maiṅ tujhe kuchh batānā chāhtā hūṅ.”
41 Īsā ne kahā, “Ek sāhūkār ke do qarzdār the. Ek ko us ne chāṅdī ke 500 sikke die the aur dūsre ko 50 sikke. 42 Lekin donoṅ apnā qarz adā na kar sake. Yih dekh kar us ne donoṅ kā qarz muāf kar diyā. Ab mujhe batā, donoṅ qarzdāroṅ meṅ se kaun use zyādā azīz rakhegā?”
43 Shamāūn ne jawāb diyā, “Mere ḳhayāl meṅ wuh jise zyādā muāf kiyā gayā.”
48 Phir Īsā ne aurat se kahā, “Tere gunāhoṅ ko muāf kar diyā gayā hai.”
49 Yih sun kar jo sāth baiṭhe the āpas meṅ kahne lage, “Yih kis qism kā shaḳhs hai jo gunāhoṅ ko bhī muāf kartā hai?”
50 Lekin Īsā ne ḳhātūn se kahā, “Tere īmān ne tujhe bachā liyā hai. Salāmatī se chalī jā.”
<- Lūqā 6Lūqā 8 ->