4 Lekin wuh ḳhāmosh rahe. Phir us ne us ādmī par hāth rakhā aur use shafā de kar ruḳhsat kar diyā. 5 Hāzirīn se wuh kahne lagā, “Agar tum meṅ se kisī kā beṭā yā bail Sabat ke din kueṅ meṅ gir jāe to kyā tum use fauran nahīṅ nikāloge?”
6 Is par wuh koī jawāb na de sake.
12 Phir Īsā ne mezbān se bāt kī, “Jab tū logoṅ ko dopahar yā shām kā khānā khāne kī dāwat denā chāhtā hai to apne dostoṅ, bhāiyoṅ, rishtedāroṅ yā amīr hamsāyoṅ ko na bulā. Aisā na ho ki wuh is ke ewaz tujhe bhī dāwat deṅ. Kyoṅki agar wuh aisā kareṅ to yihī terā muāwazā hogā. 13 Is ke bajāe ziyāfat karte waqt ġharīboṅ, langaṛoṅ, maflūjoṅ aur andhoṅ ko dāwat de. 14 Aisā karne se tujhe barkat milegī. Kyoṅki wuh tujhe is ke ewaz kuchh nahīṅ de sakeṅge, balki tujhe is kā muāwazā us waqt milegā jab rāstbāz jī uṭheṅge.”
16 Īsā ne jawāb meṅ kahā, “Kisī ādmī ne ek baṛī ziyāfat kā intazām kiyā. Is ke lie us ne bahut-se logoṅ ko dāwat dī. 17 Jab ziyāfat kā waqt āyā to us ne apne naukar ko mehmānoṅ ko ittalā dene ke lie bhejā ki ‘Āeṅ, sab kuchh taiyār hai.’ 18 Lekin wuh sab ke sab māzarat chāhne lage. Pahle ne kahā, ‘Maiṅ ne khet ḳharīdā hai aur ab zarūrī hai ki nikal kar us kā muāynā karūṅ. Maiṅ māzarat chāhtā hūṅ.’ 19 Dūsre ne kahā, ‘Maiṅ ne bailoṅ ke pāṅch joṛe ḳharīde haiṅ. Ab maiṅ unheṅ āzmāne jā rahā hūṅ. Maiṅ māzarat chāhtā hūṅ.’ 20 Tīsre ne kahā, ‘Maiṅ ne shādī kī hai, is lie nahīṅ ā saktā.’
21 Naukar ne wāpas ā kar mālik ko sab kuchh batāyā. Wuh ġhusse ho kar naukar se kahne lagā, ‘Jā, sīdhe shahr kī saṛakoṅ aur galiyoṅ meṅ jā kar wahāṅ ke ġharīboṅ, langaṛoṅ, andhoṅ aur maflūjoṅ ko le ā.’ Naukar ne aisā hī kiyā. 22 Phir wāpas ā kar us ne mālik ko ittalā dī, ‘Janāb, jo kuchh āp ne kahā thā pūrā ho chukā hai. Lekin ab bhī mazīd logoṅ ke lie gunjāish hai.’ 23 Mālik ne us se kahā, phir shahr se nikal kar dehāt kī saṛakoṅ par aur bāṛoṅ ke pās jā. Jo bhī mil jāe use hamārī ḳhushī meṅ sharīk hone par majbūr kar tāki merā ghar bhar jāe. 24 Kyoṅki maiṅ tum ko batātā hūṅ ki jin ko pahle dāwat dī gaī thī un meṅ se koī bhī merī ziyāfat meṅ sharīk na hogā.”
28 Agar tum meṅ se koī burj tāmīr karnā chāhe to kyā wuh pahle baiṭh kar pūre aḳhrājāt kā andāzā nahīṅ lagāegā tāki mālūm ho jāe ki wuh use takmīl tak pahuṅchā sakegā yā nahīṅ? 29 Warnā ḳhatrā hai ki us kī buniyād ḍālne ke bād paise ḳhatm ho jāeṅ aur wuh āge kuchh na banā sake. Phir jo koī bhī dekhegā wuh us kā mazāq uṛā kar 30 kahegā, ‘Us ne imārat ko shurū to kiyā, lekin ab use mukammal nahīṅ kar pāyā.’
31 Yā agar koī bādshāh kisī dūsre bādshāh ke sāth jang ke lie nikle to kyā wuh pahle baiṭh kar andāzā nahīṅ lagāegā ki wuh apne das hazār faujiyoṅ se un bīs hazār faujiyoṅ par ġhālib ā saktā hai jo us se laṛne ā rahe haiṅ? 32 Agar wuh is natīje par pahuṅche ki ġhālib nahīṅ ā saktā to wuh sulah karne ke lie apne numāinde dushman ke pās bhejegā jab wuh abhī dūr hī ho. 33 Isī tarah tum meṅ se jo bhī apnā sab kuchh na chhoṛe wuh merā shāgird nahīṅ ho saktā.