14 Chunāṅche jab kabhī tum apne kisī hamwatan bhāī ko zamīn bechte yā us se ḳharīdte ho to us se nājāyz fāydā na uṭhānā. 15 Zamīn kī qīmat is hisāb se muqarrar kī jāe ki wuh agle bahālī ke sāl tak kitne sāl fasleṅ paidā karegī. 16 Agar bahut sāl rah gae hoṅ to us kī qīmat zyādā hogī, aur agar kam sāl rah gae hoṅ to us kī qīmat kam hogī. Kyoṅki un fasloṅ kī tādād bik rahī hai jo zamīn agle bahālī ke sāl tak paidā kar saktī hai.
17 Apne hamwatan se nājāyz fāydā na uṭhānā balki Rab apne Ḳhudā kā ḳhauf mānanā, kyoṅki maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.
18 Merī hidāyāt par amal karnā aur mere ahkām ko mān kar un ke mutābiq chalnā. Tab tum apne mulk meṅ mahfūz rahoge. 19 Zamīn apnī pūrī paidāwār degī, tum ser ho jāoge aur mahfūz rahoge. 20 Ho saktā hai koī pūchhe, ‘Ham sātweṅ sāl meṅ kyā khāeṅge jabki ham bīj nahīṅ boeṅge aur fasal nahīṅ kāṭeṅge?’ 21 Jawāb yih hai ki maiṅ chhaṭe sāl meṅ zamīn ko itnī barkat dūṅgā ki us sāl kī paidāwār tīn sāl ke lie kāfī hogī. 22 Jab tum āṭhweṅ sāl bīj bo'oge to tumhāre pās chhaṭe sāl kī itnī paidāwār bāqī hogī ki tum fasal kī kaṭāī tak guzārā kar sakoge.
25 Agar terā koī hamwatan bhāī ġharīb ho kar apnī kuchh zamīn bechne par majbūr ho jāe to lāzim hai ki us kā sab se qarībī rishtedār use wāpas ḳharīd le. 26 Ho saktā hai ki aise shaḳhs kā koī qarībī rishtedār na ho jo us kī zamīn wāpas ḳharīd sake, lekin wuh ḳhud kuchh der ke bād itne paise jamā kartā hai ki wuh apnī zamīn wāpas ḳharīd saktā hai. 27 Is sūrat meṅ wuh hisāb kare ki ḳharīdne wāle ke lie agle bahālī ke sāl tak kitne sāl rah gae haiṅ. Jitnā nuqsān ḳharīdne wāle ko zamīn ko bahālī ke sāl se pahle wāpas dene se pahuṅchegā utne hī paise use dene haiṅ. 28 Lekin agar us ke pās itne paise na hoṅ to zamīn agle bahālī ke sāl tak ḳharīdne wāle ke hāth meṅ rahegī. Phir use maurūsī mālik ko wāpas diyā jāegā.
29 Agar kisī kā ghar fasīldār shahr meṅ hai to jab wuh use bechegā to apnā ghar wāpas ḳharīdne kā haq sirf ek sāl tak rahegā. 30 Agar pahlā mālik use pahle sāl ke andar andar na ḳharīde to wuh hameshā ke lie ḳharīdne wāle kī maurūsī milkiyat ban jāegā. Wuh bahālī ke sāl meṅ bhī wāpas nahīṅ kiyā jāegā.
31 Lekin jo ghar aisī ābādī meṅ hai jis kī fasīl na ho wuh dehāt meṅ shumār kiyā jātā hai. Us ke maurūsī mālik ko haq hāsil hai ki har waqt apnā ghar wāpas ḳharīd sake. Bahālī ke sāl meṅ is ghar ko lāziman wāpas kar denā hai.
32 Lekin Lāwiyoṅ ko yih haq hāsil hai ki wuh apne wuh ghar har waqt ḳharīd sakte haiṅ jo un ke lie muqarrar kie hue shahroṅ meṅ haiṅ. 33 Agar aisā ghar kisī Lāwī ke hāth faroḳht kiyā jāe aur wāpas na ḳharīdā jāe to use lāziman bahālī ke sāl meṅ wāpas karnā hai. Kyoṅki Lāwī ke jo ghar un ke muqarrarā shahroṅ meṅ hote haiṅ wuh Isrāīliyoṅ meṅ un kī maurūsī milkiyat haiṅ. 34 Lekin jo zamīneṅ shahroṅ ke irdgird maweshī charāne ke lie muqarrar haiṅ unheṅ bechne kī ijāzat nahīṅ hai. Wuh un kī dāymī milkiyat haiṅ.
44 Tum paṛosī mamālik se apne lie ġhulām aur launḍiyāṅ hāsil kar sakte ho. 45 Jo pardesī ġhairshahrī ke taur par tumhāre mulk meṅ ābād haiṅ unheṅ bhī tum ḳharīd sakte ho. Un meṅ wuh bhī shāmil haiṅ jo tumhāre mulk meṅ paidā hue haiṅ. Wuhī tumhārī milkiyat ban kar 46 tumhāre beṭoṅ kī mīrās meṅ ā jāeṅ aur wuhī hameshā tumhāre ġhulām raheṅ. Lekin apne hamwatan bhāiyoṅ par saḳht hukmrānī na karnā.
47 Agar tere mulk meṅ rahne wālā koī pardesī yā ġhairshahrī amīr ho jāe jabki terā koī hamwatan bhāī ġharīb ho kar apne āp ko us pardesī yā ġhairshahrī yā us ke ḳhāndān ke kisī fard ko bech ḍāle 48 to bik jāne ke bād use āzādī ḳharīdne kā haq hāsil hai. Koī bhāī, 49 chachā, tāyā, chachā yā tāyā kā beṭā yā koī aur qarībī rishtedār use wāpas ḳharīd saktā hai. Wuh ḳhud bhī apnī āzādī ḳharīd saktā hai agar us ke pās paise kāfī hoṅ. 50 Is sūrat meṅ wuh apne mālik se mil kar wuh sāl gine jo us ke ḳharīdne se le kar agle bahālī ke sāl tak bāqī haiṅ. Us kī āzādī ke paise us qīmat par mabnī hoṅ jo mazdūr ko itne sāloṅ ke lie die jāte haiṅ. 51-52 Jitne sāl bāqī rah gae haiṅ un ke mutābiq us kī bik jāne kī qīmat meṅ se paise wāpas kar die jāeṅ. 53 Us ke sāth sāl basāl mazdūr kā-sā sulūk kiyā jāe. Us kā mālik us par saḳht hukmrānī na kare. 54 Agar wuh is tarah ke kisī tarīqe se āzād na ho jāe to use aur us ke bachchoṅ ko har hālat meṅ agle bahālī ke sāl meṅ āzād kar denā hai, 55 kyoṅki Isrāīlī mere hī ḳhādim haiṅ. Wuh mere hī ḳhādim haiṅ jinheṅ maiṅ Misr se nikāl lāyā. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.
<- Ahbār 24Ahbār 26 ->