5 Bārah roṭiyāṅ pakānā. Har roṭī ke lie 3 kilogrām behtarīn maidā istemāl kiyā jāe. 6 Unheṅ do qatāroṅ meṅ Rab ke sāmne ḳhālis sone kī mez par rakhnā. 7 Har qatār par ḳhālis lubān ḍālnā. Yih lubān roṭī ke lie yādgārī kī qurbānī hai jise bād meṅ Rab ke lie jalānā hai. 8 Har hafte ko Rab ke sāmne tāzā roṭiyāṅ isī tartīb se mez par rakhnī haiṅ. Yih Isrāīliyoṅ ke lie abadī ahd kī lāzimī shart hai. 9 Mez kī roṭiyāṅ Hārūn aur us ke beṭoṅ kā hissā haiṅ, aur wuh unheṅ muqaddas jagah par khāeṅ, kyoṅki wuh jalne wālī qurbāniyoṅ kā muqaddastarīn hissā haiṅ. Yih abad tak un kā haq rahegā.”
13 Tab Rab ne Mūsā se kahā, 14 “Lānat karne wāle ko ḳhaimāgāh ke bāhar le jāo. Jinhoṅ ne us kī yih bāteṅ sunī haiṅ wuh sab apne hāth us ke sar par rakheṅ. Phir pūrī jamāt use sangsār kare. 15 Isrāīliyoṅ se kahnā ki jo bhī apne Ḳhudā par lānat bheje use apne qusūr ke natīje bardāsht karne paṛeṅge. 16 Jo bhī Rab ke nām par kufr bake use sazā-e-maut dī jāe. Pūrī jamāt use sangsār kare. Jis ne Rab ke nām par kufr bakā ho use zarūr sazā-e-maut denī hai, ḳhāh desī ho yā pardesī.
17 Jis ne kisī ko mār ḍālā hai use sazā-e-maut dī jāe. 18 Jis ne kisī ke jānwar ko mār ḍālā hai wuh us kā muāwazā de. Jān ke badle jān dī jāe. 19 Agar kisī ne kisī ko zaḳhmī kar diyā hai to wuhī kuchh us ke sāth kiyā jāe jo us ne dūsre ke sāth kiyā hai. 20 Agar dūsre kī koī haḍḍī ṭūṭ jāe to us kī wuhī haḍḍī toṛī jāe. Agar dūsre kī āṅkh zāe ho jāe to us kī āṅkh zāe kar dī jāe. Agar dūsre kā dāṅt ṭūṭ jāe to us kā wuhī dāṅt toṛā jāe. Jo bhī zaḳhm us ne dūsre ko pahuṅchāyā wuhī zaḳhm use pahuṅchāyā jāe. 21 Jis ne kisī jānwar ko mār ḍālā hai wuh us kā muāwazā de, lekin jis ne kisī insān ko mār diyā hai use sazā-e-maut denī hai. 22 Desī aur pardesī ke lie tumhārā ek hī qānūn ho. Maiṅ Rab tumhārā Ḳhudā hūṅ.”
23 Phir Mūsā ne Isrāīliyoṅ se bāt kī, aur unhoṅ ne Rab par lānat bhejne wāle ko ḳhaimāgāh se bāhar le jā kar use sangsār kiyā. Unhoṅ ne waisā hī kiyā jaisā Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā.
<- Ahbār 23Ahbār 25 ->