1 Yih ḳhabar Dariyā-e-Yardan ke maġhrib meṅ ābād tamām Amorī bādshāhoṅ aur sāhilī ilāqe meṅ ābād tamām Kanānī bādshāhoṅ tak pahuṅch gaī ki Rab ne Isrāīliyoṅ ke sāmne dariyā ko us waqt tak ḳhushk kar diyā jab tak sab ne pār na kar liyā thā. Tab un kī himmat ṭūṭ gaī aur un meṅ Isrāīliyoṅ kā sāmnā karne kī jurrat na rahī.
8 Pūrī qaum ke mardoṅ kā ḳhatnā hone ke bād wuh us waqt tak ḳhaimāgāh meṅ rahe jab tak un ke zaḳhm ṭhīk nahīṅ ho gae the. 9 Aur Rab ne Yashua se kahā, “Āj maiṅ ne Misr kī ruswāī tum se dūr kar dī hai.” [a] Is lie us jagah kā nām āj tak Jiljāl yānī Luṛhkānā rahā hai.
10 Jab Isrāīlī Yarīhū ke maidānī ilāqe meṅ wāqe Jiljāl meṅ ḳhaimāzan the to unhoṅ ne Fasah kī Īd bhī manāī. Mahīne kā chaudhwāṅ din thā, 11 aur agle hī din wuh pahlī dafā us mulk kī paidāwār meṅ se beḳhamīrī roṭī aur anāj ke bhune hue dāne khāne lage. 12 Us ke bād ke din man kā silsilā ḳhatm huā aur Isrāīliyoṅ ke lie yih sahūlat na rahī. Us sāl se wuh Kanān kī paidāwār se khāne lage.
14 Ādmī ne kahā, “Nahīṅ, maiṅ Rab ke lashkar kā sardār hūṅ aur abhī abhī tere pās pahuṅchā hūṅ.”
15 Rab ke lashkar ke sardār ne jawāb meṅ kahā, “Apne jūte utār de, kyoṅki jis jagah par tū khaṛā hai wuh muqaddas hai.” Yashua ne aisā hī kiyā.
<- Yashua 4Yashua 6 ->- a Lafzī tarjumā: luṛhkā kar dūr kar dī hai.