Link to home pageLanguagesLink to all Bible versions on this site
4
Yādgār Patthar
1 Jab pūrī qaum ne Dariyā-e-Yardan ko ubūr kar liyā to Rab Yashua se hamkalām huā, 2 “Har qabīle meṅ se ek ek ādmī ko chun le. 3 Phir in bārah ādmiyoṅ ko hukm de ki jahāṅ imām Dariyā-e-Yardan ke darmiyān khaṛe haiṅ wahāṅ se bārah patthar uṭhā kar unheṅ us jagah rakh do jahāṅ tum āj rāt ṭhahroge.”

4 Chunāṅche Yashua ne un bārah ādmiyoṅ ko bulāyā jinheṅ us ne Isrāīl ke har qabīle se chun liyā thā 5 aur un se kahā, “Rab apne Ḳhudā ke sandūq ke āge āge chal kar dariyā ke darmiyān tak jāeṅ. Āp meṅ se har ādmī ek ek patthar uṭhā kar apne kandhe par rakhe aur bāhar le jāe. Kul bārah patthar hoṅge, Isrāīl ke har qabīle ke lie ek. 6 Yih patthar āp ke darmiyān ek yādgār nishān raheṅge. Āindā jab āp ke bachche āp se pūchheṅge ki in pattharoṅ kā kyā matlab hai 7 to unheṅ batānā, ‘Yih hameṅ yād dilāte haiṅ ki Dariyā-e-Yardan kā bahāw ruk gayā jab Rab kā ahd kā sandūq us meṅ se guzarā.’ Yih patthar abad tak Isrāīl ko yād dilāte raheṅge ki yahāṅ kyā kuchh huā thā.”

8 Isrāīliyoṅ ne aisā hī kiyā. Unhoṅ ne Dariyā-e-Yardan ke bīch meṅ se apne qabīloṅ kī tādād ke mutābiq bārah patthar uṭhāe, bilkul usī tarah jis tarah Rab ne Yashua ko farmāyā thā. Phir unhoṅ ne yih patthar apne sāth le kar us jagah rakh die jahāṅ unheṅ rāt ke lie ṭhaharnā thā. 9 Sāth sāth Yashua ne us jagah bhī bārah patthar khaṛe kie jahāṅ ahd kā sandūq uṭhāne wāle imām Dariyā-e-Yardan ke darmiyān khaṛe the. Yih patthar āj tak wahāṅ paṛe haiṅ. 10 Sandūq ko uṭhāne wāle imām dariyā ke darmiyān khaṛe rahe jab tak logoṅ ne tamām ahkām jo Rab ne Yashua ko die the pūre na kar lie. Yoṅ sab kuchh waisā hī huā jaisā Mūsā ne Yashua ko farmāyā thā.

Log jaldī jaldī dariyā meṅ se guzare. 11 Jab sab dūsre kināre par the to imām bhī Rab kā sandūq le kar kināre par pahuṅche aur dubārā qaum ke āge āge chalne lage. 12 Aur jis tarah Mūsā ne farmāyā thā, Rūbin, Jad aur Manassī ke ādhe qabīle ke mard musallah ho kar bāqī Isrāīlī qabīloṅ se pahle dariyā ke dūsre kināre par pahuṅch gae the. 13 Taqrīban 40,000 musallah mard us waqt Rab ke sāmne Yarīhū ke maidān meṅ pahuṅch gae tāki wahāṅ jang kareṅ. 14 Us din Rab ne Yashua ko pūrī Isrāīlī qaum ke sāmne sarfarāz kiyā. Us ke jīte-jī log us kā yoṅ ḳhauf mānte rahe jis tarah pahle Mūsā kā.

15 Phir Rab ne Yashua se kahā, 16 “Ahd kā sandūq uṭhāne wāle imāmoṅ ko dariyā meṅ se nikalne kā hukm de.” 17 Yashua ne aisā hī kiyā 18 to jyoṅ hī imām kināre par pahuṅch gae pānī dubārā bah kar dariyā ke kināroṅ se bāhar āne lagā.

19 Isrāīliyoṅ ne pahle mahīne ke dasweṅ din *Yānī Aprail meṅ. Dariyā-e-Yardan ko ubūr kiyā. Unhoṅ ne apne ḳhaime Yarīhū ke mashriq meṅ wāqe Jiljāl meṅ khaṛe kie. 20 Wahāṅ Yashua ne dariyā meṅ se chune hue bārah pattharoṅ ko khaṛā kiyā. 21 Us ne Isrāīliyoṅ se kahā, “Āindā jab āp ke bachche apne apne bāp se pūchheṅge ki in pattharoṅ kā kyā matlab hai 22 to unheṅ batānā, ‘Yih wuh jagah hai jahāṅ Isrāīlī qaum ne ḳhushk zamīn par Dariyā-e-Yardan ko pār kiyā.’ 23 Kyoṅki Rab āp ke Ḳhudā ne us waqt tak āp ke āge āge dariyā kā pānī ḳhushk kar diyā jab tak āp wahāṅ se guzar na gae. Bilkul usī tarah jis tarah Bahr-e-Qulzum ke sāth kiyā thā jab ham us meṅ se guzare. 24 Us ne yih kām is lie kiyā tāki zamīn kī tamām qaumeṅ Allāh kī qudrat ko jān leṅ aur āp hameshā Rab apne Ḳhudā kā ḳhauf māneṅ.”

<- Yashua 3Yashua 5 ->