2 Ab tak sāt qabīloṅ ko zamīn nahīṅ milī thī. 3 Yashua ne Isrāīliyoṅ ko samjhā kar kahā, “Āp kitnī der tak sust raheṅge? Āp kab tak us mulk par qabzā nahīṅ kareṅge jo Rab āp ke bāpdādā ke Ḳhudā ne āp ko de diyā hai? 4 Ab har qabīle ke tīn tīn ādmiyoṅ ko chun leṅ. Unheṅ maiṅ mulk kā daurā karne ke lie bhej dūṅgā tāki wuh tamām qabāylī ilāqoṅ kī fahrist taiyār kareṅ. Is ke bād wuh mere pās wāpas ā kar 5 mulk ko sāt ilāqoṅ meṅ taqsīm kareṅ. Lekin dhyān rakheṅ ki junūb meṅ Yahūdāh kā ilāqā aur shimāl meṅ Ifrāīm aur Manassī kā ilāqā hai. Un kī sarhaddeṅ mat chheṛnā! 6 Wuh ādmī likh leṅ ki sāt nae qabāylī ilāqoṅ kī sarhaddeṅ kahāṅ kahāṅ tak haiṅ aur phir in kī fahristeṅ pesh kareṅ. Phir maiṅ Rab āp ke Ḳhudā ke huzūr muqaddas qurā ḍāl kar har ek kī zamīn muqarrar karūṅga. 7 Yād rahe ki Lāwiyoṅ ko koī ilāqā nahīṅ milnā hai. Un kā hissā yih hai ki wuh Rab ke imām haiṅ. Aur Jad, Rūbin aur Manassī ke ādhe qabīle ko bhī mazīd kuchh nahīṅ milnā hai, kyoṅki unheṅ Rab ke ḳhādim Mūsā se Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ un kā hissā mil chukā hai.”
8 Tab wuh ādmī rawānā hone ke lie taiyār hue jinheṅ mulk kā daurā karne ke lie chunā gayā thā. Yashua ne unheṅ hukm diyā, “Pūre mulk meṅ se guzar kar tamām shahroṅ kī fahrist banāeṅ. Jab fahrist mukammal ho jāe to use mere pās le āeṅ. Phir maiṅ Sailā meṅ Rab ke huzūr āp ke lie qurā ḍāl dūṅgā.” 9 Ādmī chale gae aur pūre mulk meṅ se guzar kar tamām shahroṅ kī fahrist banā lī. Unhoṅ ne mulk ko sāt hissoṅ meṅ taqsīm karke tamām tafsīlāt kitāb meṅ darj kīṅ aur yih kitāb Sailā kī ḳhaimāgāh meṅ Yashua ko de dī. 10 Phir Yashua ne Rab ke huzūr qurā ḍāl kar yih ilāqe bāqī sāt qabīloṅ aur un ke kunboṅ meṅ taqsīm kar die.
21 Zail ke shahr is ilāqe meṅ shāmil the: Yarīhū, Bait-hujlāh, Imaq-qasīs, 22 Bait-arābā, Samraim, Baitel, 23 Awwīm, Fārā, Ufrā, 24 Kafarul-ammonī, Ufnī aur Jibā. Yih kul 12 shahr the. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ. 25 In ke alāwā yih shahr bhī the: Jibaūn, Rāmā, Bairot, 26 Misfāh, Kafīrā, Mauzā, 27 Raqam, Irfael, Tarālā, 28 Zilā, Alif, Yabūsiyoṅ kā shahr Yarūshalam, Jibiyā aur Qiriyat-yārīm. In shahroṅ kī tādād 14 thī. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ. Yih tamām shahr Binyamīn aur us ke kunboṅ kī milkiyat the.
<- Yashua 17Yashua 19 ->