2 Yahūdāh kī junūbī sarhad Bahīrā-e-Murdār ke junūbī sire se shurū ho kar 3 junūb kī taraf chaltī chaltī Darrā-e-Aqrabbīm pahuṅch gaī. Wahāṅ se wuh Sīn kī taraf jārī huī aur Qādis-barnīa ke junūb meṅ se āge nikal kar Hasron tak pahuṅch gaī. Hasron se wuh Addār kī taraf chaṛh gaī aur phir Qarqā kī taraf muṛī. 4 Is ke bād wuh Azmūn se ho kar Misr kī sarhad par wāqe Wādī-e-Misr tak pahuṅch gaī jis ke sāth sāth chaltī huī wuh samundar par ḳhatm huī. Yih Yahūdāh kī junūbī sarhad thī.
5 Mashriq meṅ us kī sarhad Bahīrā-e-Murdār ke sāth sāth chal kar wahāṅ ḳhatm huī jahāṅ Dariyā-e-Yardan Bahīrā-e-Murdār meṅ bahtā hai.
12 Samundar Mulk-e-Yahūdāh kī maġhribī sarhad thī. Yihī wuh ilāqā thā jo Yahūdāh ke qabīle ko us ke ḳhāndānoṅ ke mutābiq mil gayā.
18 Jab Aksā Ġhutniyel ke hāṅ jā rahī thī to us ne use ubhārā ki wuh Kālib se koī khet pāne kī darḳhāst kare. Achānak wuh gadhe se utar gaī. Kālib ne pūchhā, “Kyā bāt hai?” 19 Aksā ne jawāb diyā, “Jahez ke lie mujhe ek chīz se nawāzeṅ. Āp ne mujhe Dasht-e-Najab meṅ zamīn de dī hai. Ab mujhe chashme bhī de dījie.” Chunāṅche Kālib ne use apnī milkiyat meṅ se ūpar aur nīche wāle chashme bhī de die.
33 Maġhrib ke nashebī pahāṛī ilāqe meṅ yih shahr the: Istāl, Sur'ā, Asnā, 34 Zanūh, Ain-jannīm, Taffuah, Ainām, 35 Yarmūt, Adullām, Sokā, Azīqā, 36 Shāraim, Aditaim aur Jadīrā yānī Jadīrataim. In shahroṅ kī tādād 14 thī. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.
37 In ke alāwā yih shahr bhī the: Zanān, Hadāshā, Mijdal-jad, 38 Dil'ān, Misfāh, Yuqtiyel, 39 Lakīs, Busqat, Ijlūn, 40 Kabbūn, Lahmās, Kitlīs, 41 Jadīrot, Bait-dajūn, Nāmā aur Maqqedā. In shahroṅ kī tādād 16 thī. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.
42 Is ilāqe meṅ yih shahr bhī the: Libnā, Itar, Asan, 43 Yiftāh, Asnā, Nasībab, 44 Qaīlā, Akzīb aur Maresā. In shahroṅ kī tādād 9 thī. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.
45 In ke alāwā yih shahr bhī the: Aqrūn us ke gird-o-nawāh kī ābādiyoṅ aur dehātoṅ samet, 46 phir Aqrūn se le kar maġhrib kī taraf Ashdūd tak tamām qasbe aur ābādiyāṅ. 47 Ashdūd ḳhud bhī us ke gird-o-nawāh kī ābādiyoṅ aur dehātoṅ samet is meṅ shāmil thā aur isī tarah Ġhazzā us ke gird-o-nawāh kī ābādiyoṅ aur dehātoṅ samet yānī tamām ābādiyāṅ Misr kī sarhad par wāqe Wādī-e-Misr aur samundar ke sāhil tak.
48 Pahāṛī ilāqe ke yih shahr Yahūdāh ke qabīle ke the: Samīr, Yattīr, Sokā, 49 Dannā, Qiriyat-sannā yānī Dabīr, 50 Anāb, Istamoh, Anīm, 51 Jushan, Haulūn aur Jiloh. In shahroṅ kī tādād 11 thī, aur un ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ bhī un ke sāth ginī jātī thīṅ.
52 In ke alāwā yih shahr bhī the: Arāb, Dūmā, Ish'ān, 53 Yanūm, Bait-taffuah, Afīqā, 54 Humtā, Qiriyat-arbā yānī Habrūn aur Sīūr. In shahroṅ kī tādād 9 thī. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us meṅ ginī jātī thīṅ.
55 In ke alāwā yih shahr bhī the: Maūn, Karmil, Zīf, Yūttā, 56 Yazrael, Yuqdiyām, Zanūh, 57 Qain, Jibiyā aur Timnat. In shahroṅ kī tādād 10 thī. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.
58 In ke alāwā yih shahr bhī the: Halhūl, Bait-sūr, Jadūr, 59 Mārāt, Bait-anot aur Iltaqon. In shahroṅ kī tādād 6 thī. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.
60 Phir Qiriyat-bāl yānī Qiriyat-yārīm aur Rabbā bhī Yahūdāh ke pahāṛī ilāqe meṅ shāmil the. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.
61 Registān meṅ yih shahr Yahūdāh ke qabīle ke the: Bait-arābā, Middīn, Sakākā, 62 Nibsān, Namak kā Shahr aur Ain-jadī. In shahroṅ kī tādād 6 thī. Har shahr ke gird-o-nawāh kī ābādiyāṅ us ke sāth ginī jātī thīṅ.
63 Lekin Yahūdāh kā qabīlā Yabūsiyoṅ ko Yarūshalam se nikālne meṅ nākām rahā. Is lie un kī aulād āj tak Yahūdāh ke qabīle ke darmiyān rahtī hai.
<- Yashua 14Yashua 16 ->