14
Kanān kī Taqsīm
1 Isrāīl ke bāqī sāṛhe nau qabīloṅ ko Dariyā-e-Yardan ke maġhrib meṅ yānī Mulk-e-Kanān meṅ zamīn mil gaī. Is ke lie Iliyazar Imām, Yashua bin Nūn aur qabīloṅ ke ābāī gharānoṅ ke sarbarāhoṅ ne 2 qurā ḍāl kar muqarrar kiyā ki har qabīle ko kaun kaun-sā ilāqā mil jāe. Yoṅ waisā hī huā jis tarah Rab ne Mūsā ko hukm diyā thā. 3-4 Mūsā aṛhāī qabīloṅ ko un kī maurūsī zamīn Dariyā-e-Yardan ke mashriq meṅ de chukā thā, kyoṅki Yūsuf kī aulād ke do qabīle Manassī aur Ifrāīm wujūd meṅ āe the. Lekin Lāwiyoṅ ko un ke darmiyān zamīn na milī. Isrāīliyoṅ ne Lāwiyoṅ ko zamīn na dī balki unheṅ sirf rihāish ke lie shahr aur rewaṛoṅ ke lie charāgāheṅ dīṅ. 5 Yoṅ unhoṅ ne zamīn ko unhīṅ hidāyāt ke mutābiq taqsīm kiyā jo Rab ne Mūsā ko dī thīṅ.
Kālib Habrūn Pāne kī Guzārish Kartā Hai
6 Jiljāl meṅ Yahūdāh ke qabīle ke mard Yashua ke pās āe. Yafunnā Qanizzī kā beṭā Kālib bhī un ke sāth thā. Us ne Yashua se kahā, “Āp ko yād hai ki Rab ne mard-e-Ḳhudā Mūsā se āp ke aur mere bāre meṅ kyā kuchh kahā jab ham Qādis-barnīa meṅ the. 7 Maiṅ 40 sāl kā thā jab Rab ke ḳhādim Mūsā ne mujhe Mulk-e-Kanān kā jāyzā lene ke lie Qādis-barnīa se bhej diyā. Jab wāpas āyā to maiṅ ne Mūsā ko diyānatdārī se sab kuchh batāyā jo dekhā thā. 8 Afsos ki jo bhāī mere sāth gae the unhoṅ ne logoṅ ko ḍarāyā. Lekin maiṅ Rab apne Ḳhudā kā wafādār rahā. 9 Us din Mūsā ne qasam khā kar mujh se wādā kiyā, ‘Jis zamīn par tere pāṅw chale haiṅ wuh hameshā tak terī aur terī aulād kī wirāsat meṅ rahegī. Kyoṅki tū Rab mere Ḳhudā kā wafādār rahā hai.’ 10 Aur ab aisā hī huā hai jis tarah Rab ne wādā kiyā thā. Us ne mujhe ab tak zindā rahne diyā hai. Rab ko Mūsā se yih bāt kie 45 sāl guzar gae haiṅ. Us sāre arse meṅ ham registān meṅ ghūmte-phirte rahe haiṅ. Āj maiṅ 85 sāl kā hūṅ, 11 aur ab tak utnā hī tāqatwar hūṅ jitnā ki us waqt thā jab maiṅ jāsūs thā. Ab tak merī bāhar nikalne aur jang karne kī wuhī quwwat qāym hai. 12 Ab mujhe wuh pahāṛī ilāqā de deṅ jis kā wādā Rab ne us din mujh se kiyā thā. Āp ne ḳhud sunā hai ki Anāqī wahāṅ baṛe qilāband shahroṅ meṅ baste haiṅ. Lekin shāyad Rab mere sāth ho aur maiṅ unheṅ nikāl dūṅ jis tarah us ne farmāyā hai.”
13 Tab Yashua ne Kālib bin Yafunnā ko barkat de kar use wirāsat meṅ Habrūn de diyā. 14-15 Pahle Habrūn Qiriyat-arbā yānī Arbā kā Shahr kahlātā thā. Arbā Anāqiyoṅ kā sab se baṛā ādmī thā. Āj tak yih shahr Kālib kī aulād kī milkiyat rahī hai. Wajah yih hai ki Kālib Rab Isrāīl ke Ḳhudā kā wafādār rahā. Phir jang ḳhatm huī, aur mulk meṅ amn-o-amān qāym ho gayā.
<- Yashua 13Yashua 15 ->