2 “Allāh kī hayāt kī qasam jis ne merā insāf karne se inkār kiyā, Qādir-e-mutlaq kī qasam jis ne merī zindagī talḳh kar dī hai, 3 mere jīte-jī, hāṅ jab tak Allāh kā dam merī nāk meṅ hai 4 mere hoṅṭ jhūṭ nahīṅ boleṅge, merī zabān dhokā bayān nahīṅ karegī. 5 Maiṅ kabhī taslīm nahīṅ karūṅga ki tumhārī bāt durust hai. Maiṅ be'ilzām hūṅ aur marte dam tak is ke ulaṭ nahīṅ kahūṅgā. 6 Maiṅ isrār kartā hūṅ ki rāstbāz hūṅ aur is se kabhī bāz nahīṅ āūṅgā. Merā dil mere kisī bhī din ke bāre meṅ mujhe malāmat nahīṅ kartā.
7 Allāh kare ki mere dushman ke sāth wuhī sulūk kiyā jāe jo bedīnoṅ ke sāth kiyā jāegā, ki mere muḳhālif kā wuh anjām ho jo badkāroṅ ko pesh āegā. 8 Kyoṅki us waqt sharīr kī kyā ummīd rahegī jab use is zindagī se munqate kiyā jāegā, jab Allāh us kī jān us se talab karegā? 9 Kyā Allāh us kī chīḳheṅ sunegā jab wuh musībat meṅ phaṅs kar madad ke lie pukāregā? 10 Yā kyā wuh Qādir-e-mutlaq se lutfandoz hogā aur har waqt Allāh ko pukāregā?
11 Ab maiṅ tumheṅ Allāh kī qudrat ke bāre meṅ tālīm dūṅgā, Qādir-e-mutlaq kā irādā tum se nahīṅ chhupāūṅgā. 12 Dekho, tum sab ne is kā mushāhadā kiyā hai. To phir is qism kī bātil bāteṅ kyoṅ karte ho?
Bedīn Zindā Nahīṅ Rahegā
13 Bedīn Allāh se kyā ajr pāegā, zālim ko Qādir-e-mutlaq se mīrās meṅ kyā milegā? 14 Go us ke bachche muta'addid hoṅ, lekin āḳhirkār wuh talwār kī zad meṅ āeṅge. Us kī aulād bhūkī rahegī. 15 Jo bach jāeṅ unheṅ mohlak bīmārī se qabr meṅ pahuṅchāyā jāegā, aur un kī bewāeṅ mātam nahīṅ kar pāeṅgī. 16 Beshak wuh ḳhāk kī tarah chāṅdī kā ḍher lagāe aur miṭṭī kī tarah nafīs kapṛoṅ kā todā ikaṭṭhā kare, 17 lekin jo kapṛe wuh jamā kare unheṅ rāstbāz pahan legā, aur jo chāṅdī wuh ikaṭṭhī kare use bequsūr taqsīm karegā. 18 Jo ghar bedīn banā le wuh ghoṅsle kī mānind hai, us ārizī jhoṅpṛī kī mānind jo chaukīdār apne lie banā letā hai. 19 Wuh amīr hālat meṅ so jātā hai, lekin āḳhirī dafā. Jab apnī āṅkheṅ khol letā to tamām daulat jātī rahī hai. 20 Us par haulnāk wāqiyāt kā sailāb ṭūṭ paṛtā, use rāt ke waqt āṅdhī chhīn letī hai. 21 Mashriqī lū use uṛā le jātī, use uṭhā kar us ke maqām se dūr phaiṅk detī hai. 22 Berahmī se wuh us par yoṅ jhapaṭṭā mārtī rahtī hai ki use bār bār bhāgnā paṛtā hai. 23 Wuh tāliyāṅ bajā kar apnī hiqārat kā izhār kartī, apnī jagah se āwāze kastī hai.
<- Ayyūb 26Ayyūb 28 ->