6 Īsā ne unheṅ batāyā, “Abhī wuh waqt nahīṅ āyā jo mere lie mauzūṅ hai. Lekin tum jā sakte ho, tumhāre lie har waqt mauzūṅ hai. 7 Duniyā tum se dushmanī nahīṅ rakh saktī. Lekin mujh se wuh dushmanī rakhtī hai, kyoṅki maiṅ us ke bāre meṅ yih gawāhī detā hūṅ ki us ke kām bure haiṅ. 8 Tum ḳhud īd par jāo. Maiṅ nahīṅ jāūṅgā, kyoṅki abhī wuh waqt nahīṅ āyā jo mere lie mauzūṅ hai.” 9 Yih kah kar wuh Galīl meṅ ṭhahrā rahā.
12 Hujūm meṅ se kaī log Īsā ke bāre meṅ buṛbuṛā rahe the. Bāz ne kahā, “Wuh achchhā bandā hai.” Lekin dūsroṅ ne etarāz kiyā, “Nahīṅ, wuh awām ko bahkātā hai.” 13 Lekin kisī ne bhī us ke bāre meṅ khul kar bāt na kī, kyoṅki wuh Yahūdiyoṅ se ḍarte the.
14 Īd kā ādhā hissā guzar chukā thā jab Īsā Baitul-muqaddas meṅ jā kar tālīm dene lagā. 15 Use sun kar Yahūdī hairatzadā hue aur kahā, “Yih ādmī kis tarah itnā ilm rakhtā hai hālāṅki is ne kahīṅ se bhī tālīm hāsil nahīṅ kī!”
16 Īsā ne jawāb diyā, “Jo tālīm maiṅ detā hūṅ wuh merī apnī nahīṅ balki us kī hai jis ne mujhe bhejā. 17 Jo us kī marzī pūrī karne ke lie taiyār hai wuh jān legā ki merī tālīm Allāh kī taraf se hai yā ki merī apnī taraf se. 18 Jo apnī taraf se boltā hai wuh apnī hī izzat chāhtā hai. Lekin jo apne bhejne wāle kī izzat-o-jalāl baṛhāne kī koshish kartā hai wuh sachchā hai aur us meṅ nārāstī nahīṅ hai. 19 Kyā Mūsā ne tum ko sharīat nahīṅ dī? To phir tum mujhe qatl karne kī koshish kyoṅ kar rahe ho?”
20 Hujūm ne jawāb diyā, “Tum kisī badrūh kī girift meṅ ho. Kaun tumheṅ qatl karne kī koshish kar rahā hai?”
21 Īsā ne un se kahā, “Maiṅ ne Sabat ke din ek hī mojizā kiyā aur tum sab hairatzadā hue. 22 Lekin tum bhī Sabat ke din kām karte ho. Tum us din apne bachchoṅ kā ḳhatnā karwāte ho. Aur yih rasm Mūsā kī sharīat ke mutābiq hī hai, agarche yih Mūsā se nahīṅ balki hamāre bāpdādā Ibrāhīm, Is'hāq aur Yāqūb se shurū huī. 23 Kyoṅki sharīat ke mutābiq lāzim hai ki bachche kā ḳhatnā āṭhweṅ din karwāyā jāe, aur agar yih din Sabat ho to tum phir bhī apne bachche kā ḳhatnā karwāte ho tāki sharīat kī ḳhilāfwarzī na ho jāe. To phir tum mujh se kyoṅ nārāz ho ki maiṅ ne Sabat ke din ek ādmī ke pūre jism ko shafā dī? 24 Zāhirī sūrat kī binā par faislā na karo balki bātinī hālat pahchān kar munsifānā faislā karo.”
28 Īsā Baitul-muqaddas meṅ tālīm de rahā thā. Ab wuh pukār uṭhā, “Tum mujhe jānte ho aur yih bhī jānte ho ki maiṅ kahāṅ se hūṅ. Lekin maiṅ apnī taraf se nahīṅ āyā. Jis ne mujhe bhejā hai wuh sachchā hai aur use tum nahīṅ jānte. 29 Lekin maiṅ use jāntā hūṅ, kyoṅki maiṅ us kī taraf se hūṅ aur us ne mujhe bhejā hai.”
30 Tab unhoṅ ne use giriftār karne kī koshish kī. Lekin koī bhī us ko hāth na lagā sakā, kyoṅki abhī us kā waqt nahīṅ āyā thā. 31 To bhī hujūm ke kaī log us par īmān lāe, kyoṅki unhoṅ ne kahā, “Jab Masīh āegā to kyā wuh is ādmī se zyādā ilāhī nishān dikhāegā?”
35 Yahūdī āpas meṅ kahne lage, “Yih kahāṅ jānā chāhtā hai jahāṅ ham use nahīṅ pā sakeṅge? Kyā wuh bairūn-e-mulk jānā chāhtā hai, wahāṅ jahāṅ hamāre log Yūnāniyoṅ meṅ bikhrī hālat meṅ rahte haiṅ? Kyā wuh Yūnāniyoṅ ko tālīm denā chāhtā hai? 36 Matlab kyā hai jab wuh kahtā hai, ‘Tum mujhe ḍhūnḍoge magar nahīṅ pāoge’ aur ‘Jahāṅ maiṅ hūṅ wahāṅ tum nahīṅ ā sakte.’ ”
41 Dūsroṅ ne kahā, “Yih Masīh hai.”
46 Pahredāroṅ ne jawāb diyā, “Kisī ne kabhī is ādmī kī tarah bāt nahīṅ kī.”
47 Farīsiyoṅ ne tanzan kahā, “Kyā tum ko bhī bahkā diyā gayā hai? 48 Kyā rāhnumāoṅ yā Farīsiyoṅ meṅ koī hai jo us par īmān lāyā ho? Koī bhī nahīṅ! 49 Lekin sharīat se nāwāqif yih hujūm lānatī hai!”
50 In rāhnumāoṅ meṅ Nīkudemus bhī shāmil thā jo kuchh der pahle Īsā ke pās gayā thā. Ab wuh bol uṭhā, 51 “Kyā hamārī sharīat kisī par yoṅ faislā dene kī ijāzat detī hai? Nahīṅ, lāzim hai ki use pahle adālat meṅ pesh kiyā jāe tāki mālūm ho jāe ki us se kyā kuchh sarzad huā hai.”
52 Dūsroṅ ne etarāz kiyā, “Kyā tum bhī Galīl ke rahne wāle ho? Kalām-e-muqaddas meṅ taftīsh karke ḳhud dekh lo ki Galīl se koī nabī nahīṅ āegā.” 53 Yih kah kar har ek apne apne ghar chalā gayā.
<- Yūhannā 6Yūhannā 8 ->